Arz kiya hai
Kehta Hu ke aaj dil bohot takleef me hai
Aur takleef dene waale dil me hai
Is daur ke logo me wafa dhund raha hu
Ke mai zeher ke shishi me dawaa dhund raha hu
Kaise keh du ke thak gaya hu mai
Najaane kitno ka hausla hu mai
Muskurahat Tabassum Hasi aur Kehkahe
Sab ke sab kho gaye, ab hum bade ho gaye
Zindagi me hamesha ek baat yaad rakhna
Kisi ke acche ke chakkar me kisi sacche ko na kho dena
And Last…
Cover up…
Dosto ko ekattha nahi kijiyega saahab, badal jaate hai
Noto ko ekattha kijiye, naye ho ya purane sab chale aate hai…