Arz Kiya hai:
Zindagi ka andhera hamesha bura nahi hota
Agar Raat hui hai to sabr rakkhe subha bhi zarur hogi
Bas insaan ka hausla buland hona chahiye
Yehi andhera aane wali roshni se zarur milwata hai
Waqt ka kaarwa zindagi banata aur bigaadhta bhi hai
Sabr rakhe, waqt hi dilo ko sukoon dena jaanta hai
Roz ki tadap, mushkilaat, musibate aur aasun banda kya kare
Sar jhukale sajde me, andhere me roshni dhund le, himmat na kabhi mare…