Takleefe

To Arz kiya hai…

Zindagi ke bojh se jhukta jaa raha hoon main,
Har roz ek nayi kasauti, ek naya imtihaan hoon main.

Kabhi karz ka dard, kabhi ghar ka gham sataata hai,
Har raat thak kar sochta hoon — “kyun itna toot jaata hoon main?”

Pareshaniyan rukti hi nahi… ek jaaye to doosri aa jaati hai,
Har din ki mushkil manzil ko aur door le jaati hai.

Haalat ne aaj khamosh kar diya mere andar ka shor,
Aksar lagta hai — ab bas, iss jung ka nahi koi aur koyi morh.

Kabhi sochta hoon, shaayad main hi kamzor hoon,
Kabhi lagta hai, main hi apne dard se majboor hoon,
Par dil ka ek hissa kehta hai, “ruk mat… tu nahi majboor hai,”
Har raat ke baad ek subah hoti hai… aur tu bhi usi ka noor hai.

Haan, sach hai… kabhi kabhi lagta hai haar gaya hoon main,
Zindagi ki dhoop me bilkul thak sa gaya hoon main,
Magar phir khud ko sambhaal kar keh deta hoon — “abhi khatam nahi,”
Jisne itna saha hai duniya me… woh aaj bhi toot kar zinda hoon main.

Published by Zulfikar Inamdar

“Main wo hoon jo khud se kam, dusron ke liye zyada jeeta hoon… Dil me pyaar, zubaan par sach, aur raaton me duaayein rakhta hoon. Toot kar bhi muskurane ki adat hai… Aur wafa nibhana meri fitrat hai.”

Leave a comment