Arz kiya hai…
Sab ko khush rakhte-rakhte,
Apni khushi ne khudkhushi kar li,
Main muskurahaton ka thekedar tha,
Par rooh ne chup-chaap apni aadat badli.
Jis seene ne sabke gham ka bojh uthaya,
Us seene me hi sau sau zakhm pal gaye,
Maine unke ashkon ko pocha tha roz,
Par mere aansu aaj tak beh jaane ko muthaj ho gaye.
Har lamha unke liye khud ko jalaaya,
Par unko meri roshni ka ehsaas na hua,
Maine unki raahon ko chamkaane ki zid ki,
Aur apne raste me andhera hi andhera hua.
Dil ke sheeshe pe likha tha maine,
Ke kisi ko takleef na pohonchne doon,
Par hawaon ne likha hua mita diya,
Main khud se hi wada nibha na sakoon.
Jis muhabbat ko khairaat ki tarah baant diya,
Us muhabbat ka ek boond bhi mujhe wapas na mila,
Main ne sabko sambhalne ki koshish me,
Apne aap ko hi zameen par bikhra mila.
Unki mehefilon me khushi ki bajti thi dafli,
Par mere ghar me tanhai ki saz mila,
Sab ki hasraton ka bojh mere kandhon pe tha,
Par mere kandhon ko kisi ka saath na mila.
Aksar socha karta tha—
Aakhir main kis hisaab me jeeta hoon?
Sab ke rishte nibhaata hoon main,
Par apne andar ke insan ko kab mita kar jeeta hoon?
Zindagi ke is bazaar me,
Main sab ke liye qeemat se badkar tha,
Par jab apna dard bechne gaya,
Kisi ne ek sikka tak na diya.
Kabhi kabhi lagta hai,
Ke meri nazmon ka bojh bhi mujhse bhaari hai,
Main har misre me sabke dard likhta gaya,
Apni dard ki to kabhi guftagu adhoori hi baqi hai.
Zulfikar, tu sabko saath lekar chalta raha,
Par apni raah ki khamoshi koi na padhta gaya,
Jis dil ne duniya ka bojh uthaya,
Wohi dil dheere-dheere khud se uthkar girta gaya.
Ek din jab rooh hisaab maangegi,
To sawal yeh hoga—“Tu khush kab tha?”
Jinke liye tu jeeta raha umr bhar,
Unme se ek bhi tera saatth kab tha?
Aur sun…
Jis din tu apne aansu khud poch lega,
Woh din tera sabse bada jeet ka hoga,
Zindagi ke is jung me sabko jeet milti hai,
Bas khud se ladne wale ko sabse der se hoga.
Zulfikar, teri khamoshi hi teri gawahi ban gayi,
Dard likhta raha tu duniya ko, par duniya bewafa hi ban gayi.
Jis dil ne sab ko jeene ka sahara diya tha,
Aakhir me wahi dil apne liye pukaarta tanha reh gayi.