Sirf Ek Raaz:

Arz kiya hai…

Jo kuch bigaada, bas apna hi bigaada,
Kisi ka dil thoda nahi, kisi ka raasta roka nahi.

Apni hi saanson ko main ne bojh banaya,
Kisi aur ki zindagi par saya kabhi dala nahi.

Girte hue bhi maine kisi ka daman nahi thaama,
Daudta raha tanha, kisi ka qadam uljhaaya nahi.

Khataon ka hisaab bhi maine khud se hi poocha,
Kisi aur ki rooh ko kabhi ruswa kiya nahi.

Main ne apne ghamon ko apne hi ghar me kaid rakha,
Kisi aur ke sheeshe se dil ko kabhi daraaya nahi.

Barbaadi bhi aayi to sirf meri zindagi tak mehdood rahi,
Kisi ke khwaabon ko maine zara sa bhi hilaaya nahi.

Zindagi bhar apne hi bojh se jhulta raha,
Par kisi aur ke kando par bojh bithaaya nahi.

Main ne khud ko andheron me chhupa liya tha aksar,
Magar kisi ke aasmaan se ujala chheena nahi.

Rishte bhi toot gaye to meri hi khami thi,
Isme kisi aur ka daaman kabhi maila hua nahi.

Chalne diya sabko unke apne manzilon ki taraf,
Apni thakaan ka aalam kisi ko batlaaya nahi.

Ye sab dard aur raaz bas mere hi naam ke liye,
Maine ne sirf khud ko hi aazmaaya hai kisi aur ki nahi.

Published by Zulfikar Inamdar

“Main wo hoon jo khud se kam, dusron ke liye zyada jeeta hoon… Dil me pyaar, zubaan par sach, aur raaton me duaayein rakhta hoon. Toot kar bhi muskurane ki adat hai… Aur wafa nibhana meri fitrat hai.”

Leave a comment