yun hi aazmaata rehta hu logon ko,
Koi sachcha mile to dil se laga kar chala jaata hai…
Arz kiya hai…
Kahaan milta hai samajhnewaala,
Jo bhi milta hai samjhakar chala jaata hai…
Humne khol diye the dil ke saare saaz,
Magar har koi bas sun kar chala jaata hai…
Kisi ne dard ki teh tak utarna hi na chaha,
Sab fasane ki tarah likh kar chala jaata hai…
Ajeeb riwayat hai is shehar-e-behis me,
Jo saath dene aaye, wo bhi rok kar chala jaata hai…
Humne rishte sambhaale the poori wafaa se,
Par log faayda dekh kar badal kar chala jaata hai…
Humaare zakhmon me kuch toh narmi hoti,
Par har ek banda namak dal kar chala jaata hai…
Ek waqt tha hum bhi kisi ka sahara the,
Aaj khud ko sambhalein to hausla tut kar chala jaata hai…
Mohabbat ki gali me bhi kuch aisa hi hai,
Jis par bharosa karo, wo hi mukkar kar chala jaata hai…
Ab humne seekh liya hai khamosh rehna,
Kyuki jo sunta hai, wo bhi faisla kar ke chala jaata hai…