Bas Yaadein Hai Tumhari:

Arz kiya hai…

Mere paas to bas yaadein hi tumhaari reh gayi,
Zindagi to use mubarak ho, jiske paas tum ho ab bhi…

Tumhaare baad se khushiyon ka rasta badal sa gaya,
Muskurahat bhi ab aankhon ka qarz chukati si lagti hai…

Main apne aap ko samjhaata hoon har raat, har lamha,
Par tum bin ye dil be-wajah sa, adhoora sa lagta hai…

Jo baatein tum muskurakar kaha karti thi,
Aaj wohi alfaaz tanha kamron me goonj uthte hain…

Main roz apne dil ko samjhaata hoon—intezaar mat kar,
Par dil bhi kya kare, tumhari aadat se azaad kaha hota hai…

Jin galiyon me hum saath chale the kabhi,
Aaj unhi raahon par akela saaya mera humsafar banta hai…

Tumhari kami ne mujhe itna chup kar diya,
Ke ab dard bhi mera naam lekar hi awaz deta hai…

Mera ab bhi usi mod par thaama hua hai waqt,
Na tum wapas aaye… na dil kisi aur ko apna kar paya…

Published by Zulfikar Inamdar

“Main wo hoon jo khud se kam, dusron ke liye zyada jeeta hoon… Dil me pyaar, zubaan par sach, aur raaton me duaayein rakhta hoon. Toot kar bhi muskurane ki adat hai… Aur wafa nibhana meri fitrat hai.”

Leave a comment