Ek Nazar:

Quote:

Kabhi kabhi poori zindagi kisi ek nazar ki qeemat mein guzarti hai

Arz kiya hai…

Tu kahaan hai… dhundh raha hoon main tujhe ek nazar dekhne ko,
Muddatein beet gayi hain, saanse rukti jaati hain bas ek nazar dekhne ko.

Tere bin raaton ka andhera bhi ab aadat ban gaya,
Par dil abhi bhi chaand se kehta hai,
“Us tak meri tamanna pohcha de… ek nazar dekhne ko.”

Aankhon ke kinare sookh gaye,
Par rota hoon to lagta hai jaise saal be-saabri mein jale hon…
Phir bhi dil ek hi dhun bajaata hai —
Shayad kal… shayad aaj… mil jaaye ek nazar dekhne ko.

Raaston par chalte hue har chehra tumsa lagta hai,
Main rukta hoon, ghoor kar dekhta hoon,
Magar khamoshi kehti hai —
“Zulfi… yeh woh nahi jiski chaah tumhe sazaa deti hai… ek nazar dekhne ko.”

Duaon ki mehfil mein aaj bhi tera naam sabse pehle aata hai,
Honthon se nahi, dil ki dhadkano se nikalta hai…
Ajeeb si ek aas baaki reh gayi hai —
Tum bhi kabhi kisi pal thahre the? Ek nazar dekhne ko?

Meri tanhaaiyaan bhi kabhi kabhi tumhara pataa poochti hain,
Main unhe kya jawab doon…
Khud ko bhi to nahi pata tum kis aasmaan ke kone mein gum ho,
Aur main kis zameen par toot kar bikhra hoon… ek nazar dekhne ko.

Waqt guzar gaya, mausam badal gaye, log badal gaye,
Bas dil apni zidd par khada reh gaya…
Sach kahoon…
Agar aaj tum saamne aa jao,
To shayad meri rooh pehle gir pade rozate hue… ek nazar dekhne ko.

Aansu khatam ho jaayein to kya hua,
Dard to humne mehsoos karna chhod hi nahi sakte…
Aur tum… tumhari yaad to aaj bhi meri ankhon ka sajda maangti hai,
Har subah, har shaam… ek nazar dekhne ko.

Zindagi ka safar kaisa bhi ho,
Bas ek raat, ek lamha, ek saans aisi chahiye…
Jisme tum saamne ho,
Aur main khamoshi se keh sakun —
“Ab araam mil gaya… bas ek nazar dekh li.”

Published by Zulfikar Inamdar

“Main wo hoon jo khud se kam, dusron ke liye zyada jeeta hoon… Dil me pyaar, zubaan par sach, aur raaton me duaayein rakhta hoon. Toot kar bhi muskurane ki adat hai… Aur wafa nibhana meri fitrat hai.”

Leave a comment