– Zulfikar Inamdar
Jo rooh me utar jaye, usse zindagi bhar nikala nahi ja sakta.
Mera Iraada:
Arz kiya hai…
Qayamat tak tumhe pyaar karne ka iraada rakhta hu,
Har saans me tumhara naam, har dhadkan me tumhara saaya rakhta hu…
Tum zindagi me nahi ho, par mere zehen me ho sada,
Main apni tanhaiyon me bhi tumhara dard sajaya rakhta hu…
Duniya ke liye waqt rukta nahi, par mere liye ruk gaya,
Main har guzarte lamhe me tumhari raah hi takta rakhta hu…
Kabhi kisi pal tumhari ek jhalak mil jaye agar,
Us ek pal ke liye main saalon se dil ko zinda rakhta hu…
Tumhari khamoshi bhi meri zindagi ki sabse tez awaaz hai,
Main apne kanch jaise dil par tumhari yaadon ka bojh uthaya rakhta hu…
Log puchte hain kyu nahi aage badhta? kya rok raha hai?
Kaise samjhau ke tumhari ek hi muskurahat ko main taqdeer sa banaya rakhta hu…
Main toot bhi jaun to bhi kisi ko shikayat ka mauka nahi deta,
Apne chehre par muskurahat ka jhoota par sachcha naqaab lagaya rakhta hu…
Mohabbat ka safar sirf milne tak nahi hota,
Main door rehkar bhi tumhari hifazat ki dua mangta rakhta hu…
Agar tum kabhi palat kar dekhna chaho, Zulfi abhi bhi wahi milega,
Jo tumhari rooh ko pehchaan kar tumhe dil se laga rakhta hu…
Aur qayamat ke din agar sab bikhar bhi jaye,
Main tumhari taraf hi apni rooh ka haath badhata rakhta hu…
Qayamat tak, haan qayamat tak —
Ishq ka yeh iraada, yeh wafadari, yeh junoon zinda rakhta hu.