– Zulfikar Inamdar
Tanhaai dushman nahi, dil ka sabse imaandaar saathi hoti hai.
“Sukoon Ki Talash”
Arz Kiya hai…
Maine khud ko us khush-fehmi ki zanjeer se chhuda liya,
Ke meri kami se bhi koi bechain hota hoga…
Sach ye hai, log yaad bhi unhi ko karte hain,
Jinka saath unke lamhon ko sukoon deta hoga…
Main khud ko sambhal kar aksar sochta rehta hoon,
Ke kisko mere jaane ka gham chhota ya bada lagta hoga…
Har chehra muskurahat me chhupa leta hai sachchai,
Aur sach, kisi na kisi ko zaroor chubhta hoga…
Mohabbat ka hisaab bhi kitna ajeeb hota hai,
Jo mil jaye, uska mol kam padta hoga…
Aur jo door ho jaaye to yaadon ki dhool me,
Dil ka har kone uska pata dhoondta hoga…
Main khamoshi me bhi lafzon ka ek dariya rakhta hoon,
Jo kisi apne ko sunata, to shayad halka padta hoga…
Par akelepan ka ek ada bhi hota hai,
Jo dil ko rota bhi hai, phir bhi sambhalta hoga…
Mere honthon ki muskan bhi kitni ajeeb cheez hai,
Kisi apne ko lagegi jaise dard chhupa rakha hoga…
Aur jo anjaane hote hain, wo samajh bete hain,
Ke ye dil to hamesha se hi mazboot hota hoga…
Rishton ki galiyon me bhi ajeeb sa sannata rehta,
Har kadam par koi yaadon ka chiragh jalta hoga…
Jo pal do pal ruk jaye to ehsaas hota hai,
Ke waqt bhi kabhi kabhi thak kar tham jata hoga…
Maine mohabbat me haar kar bhi jeetna seekh liya,
Ke dil ka hausla hi insaan ko zinda rakhta hoga…
Ab dua karta hoon ke jisko bhi milu,
Mera ikhlaas uske dinon ko narm sa sukoon deta hoga…
Kabhi kabhi tanhaai bhi apna ghar sa lagti hai,
Jisme bechaini ka har kona chupke se baith jata hoga…
Dil ko samajha bhi loon to ek sawal uthta hai,
Ke kisko mere sukoon ka sach samajh aata hoga…
Har raat ek parchhai si mere saath chalte rehti,
Jaise koi bin kahe mujhe tasalli deta hoga…
Andheron ki bhi ek zubaan hoti hai,
Shayad wo dil ke zakhamon ko chupke se padh leti hogi…
Maine aksar yaadon ko palat kar dekha hai,
Kuch pal rooth gaye honge, kuch pal hans pade honge…
Zindagi ka safar bhi ajeeb tareh ka mehmaan hai,
Kabhi sambhalta hai, kabhi haath se phisal padta hoga…