Arz kiya hai… Raat ne aaj phir mere zakhmon ko awaaz diya,Main chup tha, par dard ne dil ke darwaze khol diya. Hawa bhi aaj kuch dheemi si chal rahi thi,Jaise wo bhi mere gham par duaayein de rahi ho. Wo yaad… jo kabhi muskura kar chali gayi thi,Aaj phir se aankhon ke kone meContinue reading “Zakhmon ki Awaaz:”
Author Archives: Zulfikar Inamdar
Ehsaas:
Arz Kiya hai… Tumhe itna ehsaas to rakhna tha pyaare,Sataana nahi tha sataaye hue ko… Woh chhup kar rota tha, magar aansu cheekh kar kehte the,Ke dil ka bojh kam se kam tum samajh lete sahaye hue ko… Uska to din bhi bhar jata tha tanha soch ke saaye se,Aur raat ko yaadein bhi chubhtiContinue reading “Ehsaas:”
Khushiya Manaao
Arz kiya hai… Ab shaukh nahi mujhko saccha saabit karne ka,Aapne kaha das aur das paachas, sahi hai, khushiya manao. Har shak ko chhodo, ab dil ko bechain na karo,Aapne muskurake kaha, bas khushiya manao. Koshish meri thi, apne aap ko dikhane ki,Par aapke lafz ne har gham ko mita diya, khushiya manao. Ab naContinue reading “Khushiya Manaao”
Ikhtiyaar:
Arz kiya hai… Yun to tujh par koyi ikhtiyaar nahi mera,Magar Khuda ki kasam, tere aas paas bhatakne wale zeher lagte hain kareeb se. Har kadam pe teri khamoshi ka asar hai,Har lamha teri yaadon ka izhar hai. Woh log jo bhatak ke aate hain,Jaise mere dil ke armaan ko chubh jaate hain. Phir bhi,Continue reading “Ikhtiyaar:”
Sirf Ek Raaz:
Arz kiya hai… Jo kuch bigaada, bas apna hi bigaada,Kisi ka dil thoda nahi, kisi ka raasta roka nahi. Apni hi saanson ko main ne bojh banaya,Kisi aur ki zindagi par saya kabhi dala nahi. Girte hue bhi maine kisi ka daman nahi thaama,Daudta raha tanha, kisi ka qadam uljhaaya nahi. Khataon ka hisaab bhiContinue reading “Sirf Ek Raaz:”
Chalakiya:
Arz kiya hai: Thodi si chalakiya mujhe bhi sikha de ai Zindagi,Har qadam pe masoomiyat ab bojh si lag rahi hai. Log muskurate hai lekin irade kuch aur rakhte hai,Har nazar ki meherbani bhi ab mehngi padh rahi hai. Sach bolne ki aadat ne kitni baar rulaya hai,Jhooth ki mandiyon me hamari qeemat gir siContinue reading “Chalakiya:”
Tute Hue Kaach:
Arz kiya hai… Tute hue kaach ki tarah chakna chur ho gaye hai,Kisiko chub na jaye isliye sab se dur ho gaye hai. Akad se bhi khatam ho jate hai rishte,Har baar kasoor galtiyo ka nahi hota. Khud se hi chhup jaate hai, khud ko sambhalte hai,Par dard ke ye tukde, dil ke kareeb hiContinue reading “Tute Hue Kaach:”
Bachpan Ka Dil:
Arz kiya hai… Mai bachpan se saadaa tha dil ka,Khushi aur pyaar se bhara har pal tha mera.Bahar waalo ko chorho, gharwalo tak ne jeene nahi diya,Har muskaan par sawal, har khushi par intezaar tha. Duniya ke rangon se door, main bas apni soch me khoya,Par har pal, har lamha, ek khamoshi ka bojh saContinue reading “Bachpan Ka Dil:”
Apna kaha karte the:
Arz kiya hai… Dard kha gaye mere bolne ka hunar,Warna hum to wo the jo sab ko apna kaha karte the. Jin ke liye dil ke aasman par sitare sajaaye,Wahi log humpar toofan gira karte the. Har moḍ par saath chhodte rahe log apne,Hum to wo the jo rishte ko kabhi toota nahi kaha karteContinue reading “Apna kaha karte the:”
Be-hisaab Yaadein:
Arz kiya hai… Muhabbat, pyaar, ulfat me hisaab-kitaab kya kare,Wo jab bhi yaad aata hai, behisaab yaad aata hai… Kisi ki muskuraahat ka jo ehsaas dil me utar gaya,Phir uske baad har chehra bas kharaab yaad aata hai… Woh raatein, woh guftgu, woh khamoshi ka noor sab,Aaj bhi tanhaaiyon me la-jawaab yaad aata hai… KabhiContinue reading “Be-hisaab Yaadein:”