Aakhri Sadaa:

“Tanha rehna itna mushkil nahi hota…
Jitna yeh samajhna ke koi tha hi nahi.”

“Dard ka sabse gehra roop woh hota hai…
Jahan aansu bhi saath chhod dete hain.”

“Insaan jab andar se toot jaata hai…
To phir uski khamoshi hi uski zubaan ban jaati hai.”

“Rab se doori nahi hoti…
Bas insaan apne dard mein itna kho jaata hai ke use Rab nazar nahi aata.”

– Zulfikar Inamdar

“Aakhri Sada:”

Arz kiya hai ke…

Ya Rab…
Thak gaya hoon akele rehkar is zindagi ke veeranon mein.
Na raaste apne lage,
Na manzil ne kabhi apna kaha.
Main chalta raha…
Magar har qadam par apni hi parchhaayi se haar gaya.

Kabhi socha tha
Ke zindagi ek haseen kitaab hogi,
Har safha mohabbat se bhara hoga…
Magar aaj har safha phata hua hai,
Har lafz dard mein bheega hua hai.

Ya Rab…
Meri khamoshi bhi ab cheekhne lagi hai.
Jo baat kabhi alfaaz tak nahi aati thi,
Aaj woh aansuon ban kar beh jaati hai.
Aur ajeeb baat yeh hai…
Ke ab aansuon mein bhi sukoon nahi milta.

Har subah uthta hoon
To lagta hai ek aur jung shuru ho gayi,
Aur har raat sota hoon
To mehsoos hota hai ke main phir haar gaya.
Na jeet ka ehsaas,
Na haar ka gham…
Bas ek be-hiss si zindagi
Jo bas chal rahi hai.

Ya Rab…
Kya main itna akela likha gaya hoon?
Kya meri taqdeer mein sirf intezaar hai?
Kya meri rooh ko kabhi sukoon naseeb nahi hoga?

Maut de de Ya Rab…
Agar yeh saansein sirf bojh ban chuki hain,
Agar yeh dil sirf dard ka ghar ban chuka hai,
To phir mujhe is bojh se azaad kar de.
Mujhe mitti ki god mein sula de,
Jahan na kisi ki yaad jalaaye,
Na kisi ki kami rulaaye.

Main jaanta hoon…
Qabar mein bhi akela hi rehna hai.
Magar woh tanhaayi jhooti nahi hogi,
Wahan koi waada tootega nahi,
Koi apna paraya ban kar dil nahi dukhayega.
Wahan sirf khamoshi hogi…
Aur teri rehmat ka intezaar.

Aur agar yeh zindagi abhi meri kismat ka hissa hai,
To phir Ya Rab…
Mujhe itni himmat de
Ke main is tanhaayi ko apna bana loon,
Is dard ko apni pehchaan bana loon,
Aur is safar ko teri raza samajh kar jee loon.

Par agar nahi…
To phir mujhe apne paas bula le,
Jahan main toot kar bhi mukammal ho jaaun,
Jahan main tanha hoke bhi tanha na rahun.

“Main duniya se nahi haar raha Ya Rab…
Main bas zindagi ke bojh se jhuk gaya hoon.”

Aur meri aakhri sada…
Meri aakhri guzarish…
Bas itni si hai:

“Jahan sabne mujhe chhod diya…
Wahan sirf tu mujhe qabool kar lena.”

“Mujhe kabhie akela na chorhna” “Teri Rehmat ka saaya rakhna”

Published by Zulfikar Inamdar

“Main wo hoon jo khud se kam, dusron ke liye zyada jeeta hoon… Dil me pyaar, zubaan par sach, aur raaton me duaayein rakhta hoon. Toot kar bhi muskurane ki adat hai… Aur wafa nibhana meri fitrat hai.”

Leave a comment