“Khud Se Mulaqat — Part 2 (Jab Insaan Khud Ko Maaf Kar Deta Hai):”

“Sabse badi azaadi tab milti hai,
jab insaan khud ko maaf kar deta hai…
kyuki uske baad, duniya ka koi ilzaam usse tod nahi sakta.”

– Zulfikar Inamdar

“Khud Se Mulaqat — (Jab Insaan Khud Ko Maaf Kar Deta Hai):”

Arz kiya hai ke…

Kabhi kabhi lagta hai…
Khud se milna mushkil nahi hota,
Mushkil hota hai…
Khud ko maaf karna.

Main us din khud ke saamne khada tha,
Jahan koi aur nahi tha…
Na koi ilzaam, na koi shor…
Sirf main… aur meri sachchai.

Maine dheere se poocha —
“Tu itna toot kyu gaya tha…?”

Aur andar se awaaz aayi —
“Kyuki tu har jagah apna dil le gaya…
Aur wapas aate waqt… khud ko wahin chhod aaya.”

Ye sun kar…
Maine pehli baar apne aap par gussa nahi kiya…
Balki afsos hua —
Ke maine khud ke saath kitni na-insaafi ki.

Maine dusron ko maaf kar diya tha…
Unki galtiyon ko samajh liya tha…
Par sabse bada bojh ye tha —
Ke maine khud ko kabhi maaf hi nahi kiya.

Main har raat apne aap ko dosh deta raha,
Har galti ka bojh uthata raha…
Jaise main insaan nahi…
Ek adalat hoon…
Jahan har faisla mere khilaaf hi hota hai.

Kabhi kabhi main apne aap se kehta tha —
“Tu aur behtar kar sakta tha…”
“Tu aur sambhal sakta tha…”

Par kabhi ye nahi kaha —
“Tu bhi thak gaya tha…”
“Tu bhi toot raha tha…”

Us din… maine faisla kiya —
Ke ab main khud ka judge nahi…
Khud ka saathi banunga.

Maine dheere se apni aankhein band ki…
Aur apne dil par haath rakh kar kaha —

“Main tujhe maaf karta hoon…”

Un galtiyon ke liye…
Jo tu ne samajh ke bina ki…
Un logon ke liye…
Jinhe tu ne zarurat se zyada ahmiyat di…
Aur sabse zyada…
Is baat ke liye —
Ke tu ne khud ko itna dard diya.

Us pal…
Mujhe laga jaise saalon ka bojh halka ho gaya…
Jaise main pehli baar…
Sach me saans le raha hoon.

Ab main perfect nahi hoon…
Par main saccha hoon.

Ab main tootne se nahi darta…
Kyuki ab mujhe pata hai…
Main khud ko sambhal sakta hoon.

Kabhi kabhi aaj bhi dil karta hai…
Khud se milne ka…

Par ab wo mulaqat dard nahi deti…
Sukoon deti hai.

Ab main khud ko judge nahi karta…
Main khud ko samajhta hoon…
Aur zarurat pade… to gale laga leta hoon.

Aur aaj main khud se kehta hoon —

“Tu galat nahi tha…
Tu bas seekh raha tha.

Tu kamzor nahi tha…
Tu bas insaan tha.

Aur ab…
Tu akela nahi hai…
Kyuki tu khud ke saath hai.”

Published by Zulfikar Inamdar

“Main wo hoon jo khud se kam, dusron ke liye zyada jeeta hoon… Dil me pyaar, zubaan par sach, aur raaton me duaayein rakhta hoon. Toot kar bhi muskurane ki adat hai… Aur wafa nibhana meri fitrat hai.”

Leave a comment