Bas Ek Nazar:

“Kuch mohabbatein milkar nahi…
kho kar mukammal hoti hain.”

– Zulfikar Inamdar

“Bas Ek Nazar”

Arz kiya hai ke…

Ek jhalak dekh lena mujhko… phir chahe hamesha ke liye chale jaana,
Main rukne ki zid nahi karunga… bas itna sa karz chuka jaana…

Chahe tumhare dil mein mere liye mohabbat ki roshni baaki ho,
Ya nafrat ke andheron ne sab kuch mita diya ho… mujhe bata jaana…

Main ne kab kaha ke tum meri zindagi ban jao,
Bas itna chaha tha… ke kabhi mujhe yaad kar ke muskura jaana…

Ab toh aadat si ho gayi hai tanha rehne ki mujhe,
Tum aaye the ek baar… bas utna hi kaafi samajh jaana…

Kaun aaya hai yahan kisi ke liye hamesha theharne,
Sab ko ek din kisi na kisi mod pe chhoot hi jaana…

Magar kuch log dil mein yun bas jaate hain chupke se,
Ke unke jaane ke baad bhi unhe roz jee kar bhool na paana…

Main toot kar bhi tumhe baddua nahi de sakta,
Bas itni si dua hai… ke tumhe kabhi mera sa na khona pade… yeh samajh jaana…

Agar kabhi meri kami mehsoos ho… toh palat kar mat aana,
Kyunki us waqt tak main khud ko kahin khamoshi mein dafan kar chuka honga…

Toh aaj jo lamha hai… use bekaar mat jaane dena,
Ek jhalak dekh lena mujhko… phir chahe hamesha ke liye bhool jaana…

Published by Zulfikar Inamdar

“Main wo hoon jo khud se kam, dusron ke liye zyada jeeta hoon… Dil me pyaar, zubaan par sach, aur raaton me duaayein rakhta hoon. Toot kar bhi muskurane ki adat hai… Aur wafa nibhana meri fitrat hai.”

Leave a comment