“Har baar jisey hum dil se maangte hain, zaroori nahi woh hamara naseeb ho… kabhi-kabhi Rab humein us shakhs se door rakhta hai, kyunki kisi aur ki dua mein hum usse bhi zyada shiddat se maange ja chuke hote hain.” ❤️
“Jo humein nahi mila, shayad woh hamari kami nahi… kisi aur ki dua ki qubooliyat thi.” ❤️
-Zulfikar Inamdar
Shayad Kisi Ne Humein Maanga Tha…
Arz Kiya hai ke…
Kabhi-kabhi zindagi mein hum jis shakhs ko apni poori duniya samajh baithte hain, wahi shakhs hamari duniya se khamoshi se nikal jaata hai…
Hum uske intezaar mein raaten guzaarte hain, uski ek jhalak ke liye taraste hain, uske ek lafz ko mohabbat samajh lete hain, aur woh… shayad kabhi samajh hi nahi paata ki humne uske liye apna kitna kuch kho diya.
Hum aksar khud se poochte hain— “Aakhir hum mein kami kya thi?” Kyun hamari mohabbat uske dil tak nahi pahunchi? Kyun hamari wafaa uske liye kaafi nahi thi? Kyun jisey humne sajdon mein maanga, woh hamari zindagi mein hamara na ho saka?
Magar har sawaal ka jawab usi waqt mil jaaye, yeh zaroori toh nahi…
Kuch jawaab waqt deta hai, kuch faasle dete hain, aur kuch jawaab Rab khud deta hai… jab hum apni zid chhod dete hain.
Aur shayad… kahin koi aisa bhi tha jo hamari ek muskurahat ke liye apni saari khushiyan luta dena chahta tha, jo hamari khamoshi bhi samajhna chahta tha, jo hamare aansuon ko humse pehle mehsoos karna chahta tha.
Lekin hum uske paas gaye hi nahi… kyunki hamari nazar sirf us darwaze par lagi thi jo hamare liye kabhi khula hi nahi.
Kitni ajeeb baat hai na…
Hum aksar us shakhs ke peeche bhaagte hain jise hamari zaroorat nahi hoti, aur us shakhs ko nazarandaaz kar dete hain jiske liye hum poori duniya se zyada zaroori hote hain.
Phir ek din… thak kar hum ruk jaate hain.
Na shikayat rehti hai, na koi sawaal… bas dil ke kisi kone mein ek khamosh si baat reh jaati hai—
“Jo hamara tha hi nahi, uske jaane ka itna dard kyun?”
Shayad isliye… kyunki humne use sirf khoya nahi tha, humne uske saath apne dekhe hue khwab bhi khoye the.
Woh sirf ek insaan nahi tha… woh hamari umeed tha, hamari dua tha, hamari aadat tha, hamari woh kahani tha jiska anjaam humne kabhi socha hi nahi tha.
Aur jab kahani adhuri reh jaaye, toh dil ko sabse zyada anjaam nahi… “kyun” satata hai.
Lekin zindagi yahin khatam nahi hoti…
Kabhi apne toote hue dil se poochna— “Kya pata, jisey hum apni manzil samajh rahe the, Rab ne use sirf ek raasta banaya ho?”
“Har muskurata hua chehra khush ho, zaroori nahi… kuch log muskurahat ko apne aansuon ka parda bana lete hain.”
– Zulfikar Inamdar
Arz kiya hai…
Koi ro raha hai, magar aansu pee raha hai, Koi toot kar bhi, duniya ke saamne jee raha hai.
Kisi ke chehre pe muskurahat ka libaas hai, Aur dil ke andar dard ka ek gehra ehsaas hai.
Koi khamosh hai, magar andar se shor bahut hai, Kisi ki aankhon mein nami hai, magar honton par noor bahut hai.
Koi apne gham ko lafzon mein bayan nahi karta, Koi har dard seh leta hai, magar kisi se shikwa nahi karta.
Koi apno ki khushi ke liye khud ko bhula raha hai, Koi apne aansu chhupa kar doosron ko hasa raha hai.
Kisi ko neend nahi aati, magar woh sota hua nazar aata hai, Kisi ka dil har raat rota hai, magar subah muskurata hai.
Koi andar se bikhar chuka hai, phir bhi sambhal raha hai, Koi apni hi zindagi mein khud ko dhoond raha hai.
Koi keh nahi pata ke kitna tanha hai woh, Bas “main theek hoon” keh kar sabse chhupa leta hai woh.
Kisi ke paas kehne ko bahut kuch hota hai, Magar sunne wala koi nahi hota hai.
Koi ek shakhs ko yaad karke chup-chaap rota hai, Aur phir duniya ke saamne hans kar kehta hai— “Mujhe kya farq padta hai…”
Ajeeb dastoor hai is duniya ka bhi, Yahan zakhm dikhane wale ko kamzor samjha jata hai, Aur zakhm chhupane wale ko mazboot kaha jata hai.
Log chehre dekh kar haal pooch lete hain, Magar aankhon ke peeche chhupa sawaal nahi dekhte.
Log kehte hain— “Tum toh hamesha khush rehte ho…”
Kaash woh samajh paate, Ke kuch log muskurate isliye hain, Taaki unka dard kisi ko nazar na aaye.
Kuch logon ki khamoshi ko ghamand samjha jata hai, Kuch ki doori ko be-rukhi kaha jata hai, Kisi ki majboori ko bahana samjha jata hai, Aur kisi ke dard ko sirf ek kahani samjha jata hai.
Magar har dil ki ek duniya hoti hai, Jahan kuch yaadein zinda hoti hain, Kuch rishte adhoore hote hain, Kuch khwab toote hue hote hain, Aur kuch sawaal aise hote hain, Jinka jawab saari zindagi nahi milta.
Kabhi-kabhi insaan thak jaata hai, Logon ko samjhate-samjhate, Apne aap ko sambhalte-sambhalte, Har kisi ke liye mazboot bante-bante.
Phir ek raat woh khamoshi se Apne Rab ke saamne baithta hai, Aur bina kuch kahe, Sirf aansuon se apna haal bayan karta hai.
Kyunki duniya shayad na samjhe, Magar Rab dil ki woh baat bhi jaanta hai, Jo zubaan kabhi keh nahi paati.
Woh aansu bhi jaanta hai, Jo aankhon se nikal nahi paate, Woh dard bhi jaanta hai, Jo lafzon mein dhal nahi paate.
Isliye agar kabhi koi Bahut zyada muskurata hua nazar aaye, Toh zaroori nahi ke woh khush ho…
Ho sakta hai, Woh apne andar ek toofan liye baitha ho, Aur duniya se sirf itna keh raha ho—
“Mujhe mat poochho main kaisa hoon…Bas mere liye dua kar dena.”
Kuch log mohabbat maangte nahi, Samajh maangte hain…
Kuch log sahara maangte nahi, Bas kisi apne ka haath chahte hain…
Aur kuch log apna dard batate nahi, Bas chahte hain ke koi Unki khamoshi padh le.
Zindagi mein agar kabhi aisa koi mile, Jo bahut kam bolta ho, Magar hamesha muskurata ho, Toh uski muskurahat par mat jaana…
Ek baar uski aankhon mein dekhna, Shayad wahan ek poori kahani mile…
“Janaze par bheed jama karna insaniyat nahi… Jeete ji kisi tanha dil ka sahara ban jana hi asli insaniyat hai. Kyunki Allah ke nazdeek woh aansu zyada qeemti hote hain, jo tum kisi ki aankhon se girne se pehle rok dete ho.”
-Zulfikar Inamdar
Arz kiya hai… ke…
Zindagi Mein Yaad Rakhna…
Janaze mein daud kar shamil hone se kahin behtar hai,zindagi ke mushkil lamhon mein kisi zinda insaan ka sahara ban jao.
Kyunki maut ke baad kandha dene wale to bahut mil jaate hain,magar jeete ji girte hue hauslon ko sambhalne wale bahut kam hote hain.
Ajeeb riwaaj hai is duniya ka…Jab insaan zinda hota hai,to uske dard ko nazarandaz kar diya jaata hai.Aur jab woh is duniya se rukhsat ho jaata hai,to uski tareefon ke qisse sunaye jaate hain.
Yaad rakhna…Insaan sirf maut se nahi marta.Kabhi apnon ki be-rukhi use tod deti hai.Kabhi tanhaai uski rooh ko kha jaati hai.Kabhi majbooriyan uski muskurahat cheen leti hain.Aur kabhi ek apne ki khamoshi…uski poori zindagi ko veeran kar deti hai.
Agar waqai kisi se mohabbat karte ho,to uske janaze ka intezar mat karo.Us waqt uska haath thaamo,jab uski himmat toot rahi ho.Us waqt uski baat suno,jab uski khamoshi sabse zyada cheekh rahi ho.Us waqt uske saath khade ho jao,jab poori duniya usse nazrein chura rahi ho.
Yaad rakhna…Qabristan tak chalna aasaan hai…Magar kisi ke dard ke safar mein uska humsafar banna bahut mushkil hai.Aur jo ye mushkil raasta ikhlaas ke saath chunta hai,woh sirf insaanon ke dilon mein hi nahi,Allah ke nazdeek bhi maqbool ho jaata hai.
Aaj kisi ke liye waqt nikaal lo… Kal shayad tumhare paas phool hon, magar woh insaan na ho.
“Har tootne wala insaan kamzor nahi hota… Kuch log khamosh isliye ho jaate hain, Kyunki unke dard ko samajhne wala koi nahi hota. Aur jab apne hi samajhna chhod dein, To insaan duniya se nahi… Sabse pehle khud se door hone lagta hai.”
– Zulfikar Abdulrehman Inamdar
Khamosh Safar:
Arz Kiya hai… ke…
Zindagi ki talaash mein hum yun kho gaye, Ke apne bhi paraaye lagne lage.
Koshish ki thi apnon mein apna banne ki, Magar apnon ki kadwahat se dil aur door hone lage.
Na jaane kis mod par waqt ne humein badal diya, Ya shayad waqt ne sirf chehron se naqaab hata diya. Jinhe apni duniya samajh kar jeete rahe, Wohi dheere dheere sirf yaadon ka hissa banne lage.
Humne kabhi mohabbat ka sauda nahi kiya, Na ehsaan ginaye, na wafa ka daam maanga. Bas jis se bhi rishta joda, Use dil se apna samjha.
Lekin dil ki zameen bhi ajeeb hoti hai… Yahan phool bhi wahi ugte hain, Aur kaante bhi wahi chubh jaate hain, Jahan hum sabse zyada bharosa karte hain.
Kabhi kisi ne poocha hi nahi, Ke muskurahat ke peeche kitni khamosh cheekhein rehti hain. Log chehre padh lete hain, Magar dil ki zubaan bahut kam log samajhte hain.
Har raat ek naya hisaab hota tha, Ke aaj kis baat par khud ko samjhaya. Har subah ek nayi umeed hoti thi, Ke shayad aaj koi apna humein samajh lega.
Magar zindagi ne dheere se kaan mein kaha…
“Har kisi ko tumhari mohabbat ki qadar ho, zaroori nahi. Har kisi ko tumhari khamoshi samajh aaye, zaroori nahi.”
Hum thak gaye the sab ko khush rakhte rakhte, Isliye ek din khud ke paas baith gaye. Us din ehsaas hua… Ke sabse zyada zarurat humein apni hi thi.
Na kisi se nafrat hui, Na kisi se badla liya. Bas kuch darwaaze dil ke hamesha ke liye band kar diye, Aur chaabi waqt ke hawale kar di.
Aaj bhi dua dete hain un logon ko, Jinhone humein rulaya. Kyunki unhi ki wajah se samajh aaya, Ke sahara insaan nahi, Allah ki rehmat hoti hai.
Ab tanha chalne se darr nahi lagta, Darr to sirf jhoote saath se lagta hai. Khamoshi ab saza nahi lagti, Ye to Rab se baat karne ka sabse haseen waqt lagta hai.
Ya Allah…
Jab duniya meri khamoshi ko kamzori samjhe, To Tu meri khamoshi ko meri ibadat likh dena.
Jab log meri muskurahat ko meri khushi samjhein, To Tu mere aansuon ko apni rehmat se pochh dena.
Jab koi mera haal poochhe bina hi guzar jaaye, To Tu apni rehmat se keh dena, “Main tere saath hoon.”
Aur agar meri zindagi ke safar mein ab bhi imtihaan baaqi hain, To meri himmat ko mere imtihaan se bada kar dena.
Meri zubaan ko shikayat se mehfooz rakhna, Mere dil ko nafrat se mehfooz rakhna, Aur meri rooh ko apni muhabbat ka aisa noor ata karna, Ke toot kar bhi kisi ka dil na todun.
Aakhir jab meri kahani apne aakhri safhe par pahunche…
To log meri kamyabiyon ka zikr na karein, Meri daulat ka hisaab na karein, Bas itna kah dein…
“Ye woh insaan tha, Jo toot kar bhi dua deta raha… Rota raha, magar kisi ko rulaya nahi… Aur logon se mayoos hokar bhi, Apne Rab se kabhi mayoos nahi hua.”
“Sabse gehra dard us waqt nahi hota jab koi chhor kar chala jaaye, balki us waqt hota hai jab woh saamne ho aur phir bhi aap uski zindagi mein kahin na hon.” 🥀💔
— Zulfikar Inamdar ✍️🌹
Tumne jawaab nahi diya, maine sawaal karna chhor diya, Tum mashghool the shayad, maine pareshaan karna chhor diya.
Pehle har subah tumhari yaad se shuru hoti thi, Har raat tumhare khayalon par khatam, Magar jab ehsaas hua ke meri yaadon ka safar, Sirf meri hi taraf se tha, To maine bhi khud ko samjha liya, Aur tumhara intezaar karna chhor diya.
Har baar socha ke shayad aaj tum yaad karoge, Shayad aaj meri kami mehsoos hogi, Shayad aaj tum poochhoge ke kaise ho, Magar har “shayad” ke baad sirf khamoshi mili, Aur maine un khamoshiyon ko apna naseeb maan liya.
Tumhari duniya bohot badi thi, Usmein log bhi bohot the, Masroofiyat bhi bohot thi, Aur shayad meri jagah bohot chhoti thi, Isliye maine khud ko tumhari duniya se dheere dheere nikaal liya, Aur apni tanhaiyon ko apna ghar bana liya.
Kabhi lagta tha ke meri hansi tumhari wajah se hai, Kabhi lagta tha ke meri duaon mein tumhara zikr hi sabse zyada hai, Kabhi lagta tha ke agar tum saath ho, To har mushkil aasan hai, Magar waqt ne sikha diya, Ke kuch log saath chalne ke liye nahi, Sirf yaad reh jaane ke liye milte hain.
Main har baar tumhari taraf ek qadam badhata raha, Aur tum har baar ek qadam peeche hat-te rahe, Yeh faasla badhta gaya, Aur ek din maine thak kar ruk jaana behtar samjha.
Bohot kuch tha jo kehna chahta tha, Bohot si baatein thi jo tum tak pahunchani thi, Magar phir samajh aaya, Ke jo insaan khamoshiyon ko nahi samajhta, Woh alfaazon ki bheed mein bhi sach nahi samajh sakta.
Tumhe kya khabar ke kitni raaton ne mera saath diya hai, Kitne aansuon ne meri palkon par ghar banaya hai, Kitni duaon mein maine tumhara naam liya hai, Aur kitni martaba Allah se sirf tumhari khushi maangi hai.
Main chahta to shikwa karta, Gila karta, Tumhe tumhari berukhi ka aaina dikhata, Magar muhabbat hisaab nahi maangti, Isliye maine bhi hisaab maangna chhor diya.
Ab na tumse koi umeed hai, Na koi shikayat, Na koi intezaar, Na koi talab, Bas ek dua hai, Ke tum jahan bhi raho, Khush raho, Abaad raho, Aur kabhi kisi apne ko us dard se na guzarna pade, Jis se main guzra hoon.
Kabhi kabhi dil aaj bhi tumhari yaadon ke darwaze tak chala jaata hai, Magar phir khud hi laut aata hai, Kyunke ab use maloom hai, Ke wahan uska koi muntazir nahi.
Main toot kar bhi bikhra nahi, Roya bhi bohot, Magar awaaz nahi ki, Kyuki kuch dard aise hote hain, Jo sirf Rab ko sunaye jaate hain, Duniya ko nahi.
Ab agar kabhi meri khamoshi tumhe yaad aaye, To samajh lena, Ke woh insaan jo har waqt tumhara tha, Ek din khud ko sambhalte sambhalte, Tumse door ho gaya.
Tum khush raho… Bas maine apna hissa maangna chhor diya, Tumhari mehfilon mein apni jagah dhoondhna chhor diya, Tumhari yaadon ke sahare jeena chhor diya, Tumse mohabbat karna nahi… Bas us mohabbat ka zikr karna chhor diya…
“Mohabbat ka sab se dardnaak anjaam judaai nahi hota, Balki woh lamha hota hai jab aap samajh jaate hain ke jis shakhs ke liye aap roye the, usay aapke aansuon se kabhi farak hi nahi pada…”
— Zulfikar Inamdar 🌹🥀
Jo kabhi dara nahi mujhe khone se, Usay kya hi farak padhta hai mere hone ya na hone se…
Kuch dard aise hote hain, Jo lafzon mein bayan nahi hote, Jo aansuon se halka nahi hote, Jo saalon tak dil ke kisi veeran kone mein Khamoshi se basera kar lete hain…
Main har roz thoda thoda bikhar kar bhi, Uske liye wahi raha jo pehle tha, Magar usay kya hi farak padhta hai Mere tootne se, mere judne se…
Kabhi raat bhar jag kar uski khair maangi, Kabhi apni khwahishon ko qurbaan kar diya, Kabhi apne dard chhupa kar uski muskurahat khareed li, Magar usay kya hi farak padhta hai Mere marne se ya jeene se…
Ek waqt tha jab uski ek awaaz par Dil sajde mein gir jaata tha, Aaj woh saamne se guzar jaaye to bhi Khamoshi mere saath chalti hai…
Main ne mohabbat ko ibadat samjha, Usne shayad ek aadat samjha, Aur aadatein badal jaati hain, Magar ibadatein kabhi nahi badalti…
Kabhi kabhi sochta hoon, Kya meri kami usay mehsoos hogi? Phir dil hans kar kehta hai, “Jo shakhs tumhare hote hue tumhara na hua, Woh tumhare na hone par kya tumhara hoga?”
Main ne uske liye kitni duaein maangi, Ye sirf Allah jaanta hai, Aur kitni dafa apne aansuon ko Muskurahat ke parde ke peeche chhupaya, Ye sirf mera takiya jaanta hai…
Har raat ek hi sawal dil se takrata hai, “Aakhir kami kahan reh gayi thi mujh mein?” Mohabbat kam thi? Wafa kam thi? Ya phir qismat ko hi mera muskuraana manzoor na tha…
Ab thak gaya hoon kisi ko apna dard samjhate samjhate, Ab thak gaya hoon kisi ki qadr karte karte, Kyun ke jo log dil se nikal jaate hain, Woh phir yaadon mein to rehte hain, Magar zindagi mein nahi…
Aur sab se badi tanhaai ye nahi hoti Ke koi aapke paas na ho, Balki sab se badi tanhaai ye hoti hai Ke koi aapke paas ho kar bhi aapka na ho…
Is liye ab shikwa bhi nahi karta, Na gila karta hoon, Kyun ke jo kabhi dara nahi mujhe khone se, Usay kya hi farak padhta hai mere hone ya na hone se…
“Har khwahish ka poora hona zaroori nahi hota… Kuch khwahishen intezar ke safar mein hi humein woh sabak de jaati hain, jo manzil par pahunch kar bhi nahi milte. Jo sabr seekh gaya, woh zindagi ke har imtehan mein kamyab ho gaya.”
“Not every wish is meant to be fulfilled… Some desires teach us lessons during the journey of waiting that even reaching the destination cannot teach. The one who learns patience has mastered the true art of living.”
✍️ Zulfikar Inamdar 🌹
🌹 “Intezar Ka Hunar” 🌹
Arz kiya hai…
Har khwahish ka poora hona zaroori to nahi, Kabhi intezar bhi insaan ko behtar bana deta hai.
Har dua ka jawab foran mil jaye zaroori to nahi, Rab aksar der se dekar uski qeemat bata deta hai.
Har manzil tak pahunch jaana hi kamyabi nahi hoti, Kabhi safar bhi zindagi ka maqsad sikha deta hai.
Har muskurahat ke peeche khushi ho zaroori to nahi, Kabhi dard bhi honton ko hansna sikha deta hai.
Har apna umr bhar apna rahe mumkin to nahi, Waqt aksar chehron se naqaab hata deta hai.
Har rishta wafadari ki misaal ban jaye zaroori nahi, Kabhi judai bhi mohabbat ka matlab samjha deti hai.
Har haar nakaami ki alamat nahi hoti, Kabhi girna bhi uthne ka saleeqa sikha deta hai.
Har zakhm dikhai de zaroori to nahi, Kuch dard rooh mein utar kar umr bhar saath rehte hain.
Har aansu kamzori ki nishani nahi hota, Kabhi ro lena bhi dil ka bojh halka kar deta hai.
Har andhera khaufnaak ho zaroori to nahi, Kabhi tanha raaton mein insaan khud ko paa leta hai.
Har sitara falak par hamesha nahi chamakta, Kabhi toot kar girna bhi uski pehchan ban jata hai.
Har phool ko bahaar naseeb ho zaroori nahi, Kuch kaliyan khilne se pehle hi murjha jaati hain.
Har koshish ka sila mil jaye zaroori to nahi, Magar har koshish tajurbe ka khazana de jaati hai.
Har sach meetha ho zaroori nahi, Magar kadwa sach hi aksar zindagi sanwar deta hai.
Har khwab ki taabeer mil jaye zaroori to nahi, Kuch adhure khwab bhi jeene ka sahara ban jaate hain.
Har band darwaza nakaami ka ishara nahi hota, Kabhi Rab uske peeche behtar raasta chhupa deta hai.
Har gham hamesha ka mehmaan nahi hota, Waqt dheere dheere har zakhm bhar deta hai.
Aur jab umr ki shaam mein insaan mud kar dekhta hai, To samajh aata hai ke jo na mila, woh bhi rehmat thi.
Jo toot gaya, usne sambhalna sikha diya, Jo bichhad gaya, usne pehchanna sikha diya.
Jo intezar mein guzra, woh zaya nahi hua, Usne sabr ka woh hunar diya jo kitaabon mein nahi milta.
Tab dil se ek hi sada nikalti hai…
Har khwahish ka poora hona zaroori to nahi, Kabhi intezar bhi insaan ko behtar bana deta hai.
___________________________________
The English Version:
🌹 The Art of Waiting 🌹
A request is…
Not every wish is destined to come true, Sometimes waiting itself refines the soul in ways nothing else can.
Not every prayer is answered the moment it is made, Often, the delay teaches the value of what is yet to arrive.
Not every destination defines success, Sometimes the journey reveals life’s deepest purpose.
Not every smile is born from happiness, Sometimes pain teaches the lips how to smile.
Not every loved one remains forever, Time has a way of removing masks and revealing truths.
Not every bond becomes a tale of loyalty, Sometimes separation teaches the meaning of love.
Not every defeat is a sign of failure, Sometimes falling teaches us how to rise with grace.
Not every wound can be seen by the eyes, Some scars settle quietly within the soul.
Not every tear speaks of weakness, Sometimes weeping lightens the burdens of the heart.
Not every darkness is meant to frighten us, Sometimes lonely nights help us discover ourselves.
Not every star shines forever in the sky, Sometimes its beauty lies in the way it falls.
Not every flower is blessed with spring, Some buds wither before they ever bloom.
Not every effort brings immediate reward, Yet every effort leaves behind a treasure of wisdom.
Not every truth tastes sweet, Yet bitter truths often shape the finest lives.
Not every dream finds its fulfillment, Some unfinished dreams become reasons to keep moving forward.
Not every closed door signals failure, Sometimes God hides a better path behind it.
Not every sorrow stays forever, Time gently heals even the deepest wounds.
And when evening falls upon the years of life, One begins to understand that what never arrived was also a blessing.
What broke us taught us how to endure, What left us taught us how to recognize what truly matters.
The time spent waiting was never wasted, For it taught a lesson no book could ever contain.
And then the heart softly whispers:
Not every wish is meant to come true; Sometimes waiting itself transforms us into better human beings.
“Kal tak meri chamak mein log apna aks dekha karte the, aaj meri kirchon se apne qadam bachaya karte hain. Waqt ne sirf itna sa farq paida kiya hai— pehle meri qeemat meri chamak thi, aaj meri qeemat mera toot jaana hai.” “Main toot kar bhi wahi hoon jo pehle tha, bas logon ki nazar badal gayi hai. Kal mere wajood mein apni tasveer dhoondhte the, aaj meri kirchon mein apna khatra dekhte hain.”
Yesterday, I was a mirror— everyone came to see themselves in me. Today, I am shattered into pieces— everyone walks carefully around me. The saddest truth is not that I broke, but that my worth was only discovered after the breaking.” “When I was whole, they admired my reflection. When I shattered, they feared my pieces. But they never understood that even broken glass still catches the light— and sometimes, it shines brighter than before.”
-Zulfikar Inamdar
Toota Hua Sheesha;
Arz kiya hai…
Kal sheesha tha, sab dekh dekh kar jaate the, Aaj puri tarah toot gaya hoon, sab sambhal sambhal kar jaate hain.
Kal tak meri chamak mein apna aks dhoondhne waale, Aaj meri kirchon se daaman bachakar jaate hain.
Kal meri baaton par mehfilein saja karti thi, Aaj meri khamoshi se nazrein churakar jaate hain.
Kal meri muskurahat ka zikr har zubaan par tha, Aaj mere aansuon ko nazarandaaz kar jaate hain.
Main wahi hoon, meri rooh bhi wahi hai, Magar log sirf surat dekh kar faisle suna jaate hain.
Kisi ne poocha bhi nahi ke tootne ki wajah kya thi, Bas mujhe toota hua dekh kar apne raaste badal jaate hain.
Kitni ajeeb baat hai is duniya ki bhi, Jo dilon ko todte hain, wahi samajhdar kehlate hain.
Main ne to har dard ko muskura kar seh liya, Magar log meri muskurahat ko meri taqat samajh jaate hain.
Unhein kya khabar ke kitni raaton se neend roothi hui hai, Kitni duaein aankhon se gir kar sajdon mein dhal jaati hain.
Kabhi kisi ki khushi ke liye khud ko mita diya, Kabhi kisi ki mohabbat mein apna wajood luta diya.
Magar hasil kya hua…?
Bas chand yaadein, kuch adhoore waade, Aur kuch log jo zaroorat ke baad badal jaate hain.
Aaj jab apne aap ko aaine mein dekhta hoon, To chehra mera hota hai, magar pehchaan kahin kho jaati hai.
Ek waqt tha jab har darwaza khula lagta tha, Aaj har raasta deewar sa nazar aata hai.
Main ne waqt ko bhi wafadaar samjha tha, Magar waqt bhi logon ki tarah rang badal jaata hai.
Ab na shikwa hai kisi se, na gila hai kisi baat ka, Jo mera tha hi nahi, uske chale jaane ka afsos kaisa.
Ab to bas itni si dua hai mere Rab se…
Agar phir se kisi ka dil jeetna ho mujhe, To pehle mera toota hua dil jod dena.
Agar phir se kisi par aitbaar karna ho mujhe, To pehle meri rooh ke zakhm bhar dena.
Aur agar ye tootna hi meri taqdeer hai, To mujhe itna sabr dena ke main bikhar kar bhi muskurata rahun.
Kyun ke maine seekh liya hai…
Har tootne wali cheez bekaar nahi hoti, Kuch sheeshe toot kar aaina ban jaate hain.
Kuch aansu gir kar dua ban jaate hain.
Kuch zakhm bhar kar hikmat ban jaate hain.
Aur kuch log…
Toot kar bhi itne khoobsurat ho jaate hain, Ke unki khamoshi bhi ek poori kitaab lagti hai.
Kal sheesha tha, sab dekh dekh kar jaate the, Aaj puri tarah toot gaya hoon, sab sambhal sambhal kar jaate hain. Magar yaqeen hai mujhe, ek din aisa bhi aayega… Ye kirchein hi meri roshni ka sabab ban jaayengi. 🌹🥀
___________________________________
English Version:
The Mirror I Used to Be:
A request is…
Yesterday I was a mirror bright, Holding every borrowed light. People came from far and near, Finding themselves whenever I appeared.
They smiled at what my surface showed, Never asking of the weight I owed. They loved the image, praised the view, Yet never cared what I went through.
Yesterday I was a story untold, A heart of flesh wrapped up in gold. A soul that carried silent scars, Still shining gently like the stars.
Then came the storm I could not fight, A cruel and unforgiving night. One crack appeared, then one more too, Until my whole world split in two.
And suddenly the crowd grew small, The voices faded one by one from all. The hands that once reached out to stay, Became the feet that walked away.
Yesterday they looked into my eyes, Today they turn away from my cries. Yesterday they called me strong and wise, Today they fear the truth behind the disguise.
Now I lie scattered upon the ground, In shattered silence, without a sound. And those who once stood close to me, Pass with caution, carefully.
Not because I changed inside, Not because my soul has died. But broken things make people see The pain behind reality.
Funny how the world behaves, Building crowns and digging graves. Loving flowers while they bloom, Then forgetting them too soon.
No one asks how much it hurt, To watch my dreams fall in the dirt. No one counts the sleepless nights, Or sees the tears beyond the lights.
Yet every fragment that remains Still remembers joys and pains. Every piece reflects a part Of the shattered map inside my heart.
And though I’m broken, this I know, Some seeds need darkness first to grow. Some stars are born from skies that break, Some souls awaken when they ache.
For I have learned through every scar, Broken things are who we are. The moon is cracked by shades of night, Yet still it fills the world with light.
A river cuts through stone with pain, Yet finds the ocean once again. And hearts that shatter, hearts that bend, Often love the deepest in the end.
So let them walk with careful feet, Let them fear the shards they meet. I no longer seek their praise, Or long for yesterday’s embrace.
Because one day they too will see, The truth that lives inside of me:
A mirror broken on the floor Still reflects forevermore.
And a wounded heart that learns to heal Possesses strength that’s truly real.
For yesterday I was admired for my shine, But today my scars have made me divine.