“Khud Se Mulaqat — Part 2 (Jab Insaan Khud Ko Maaf Kar Deta Hai):”

“Sabse badi azaadi tab milti hai,
jab insaan khud ko maaf kar deta hai…
kyuki uske baad, duniya ka koi ilzaam usse tod nahi sakta.”

– Zulfikar Inamdar

“Khud Se Mulaqat — (Jab Insaan Khud Ko Maaf Kar Deta Hai):”

Arz kiya hai ke…

Kabhi kabhi lagta hai…
Khud se milna mushkil nahi hota,
Mushkil hota hai…
Khud ko maaf karna.

Main us din khud ke saamne khada tha,
Jahan koi aur nahi tha…
Na koi ilzaam, na koi shor…
Sirf main… aur meri sachchai.

Maine dheere se poocha —
“Tu itna toot kyu gaya tha…?”

Aur andar se awaaz aayi —
“Kyuki tu har jagah apna dil le gaya…
Aur wapas aate waqt… khud ko wahin chhod aaya.”

Ye sun kar…
Maine pehli baar apne aap par gussa nahi kiya…
Balki afsos hua —
Ke maine khud ke saath kitni na-insaafi ki.

Maine dusron ko maaf kar diya tha…
Unki galtiyon ko samajh liya tha…
Par sabse bada bojh ye tha —
Ke maine khud ko kabhi maaf hi nahi kiya.

Main har raat apne aap ko dosh deta raha,
Har galti ka bojh uthata raha…
Jaise main insaan nahi…
Ek adalat hoon…
Jahan har faisla mere khilaaf hi hota hai.

Kabhi kabhi main apne aap se kehta tha —
“Tu aur behtar kar sakta tha…”
“Tu aur sambhal sakta tha…”

Par kabhi ye nahi kaha —
“Tu bhi thak gaya tha…”
“Tu bhi toot raha tha…”

Us din… maine faisla kiya —
Ke ab main khud ka judge nahi…
Khud ka saathi banunga.

Maine dheere se apni aankhein band ki…
Aur apne dil par haath rakh kar kaha —

“Main tujhe maaf karta hoon…”

Un galtiyon ke liye…
Jo tu ne samajh ke bina ki…
Un logon ke liye…
Jinhe tu ne zarurat se zyada ahmiyat di…
Aur sabse zyada…
Is baat ke liye —
Ke tu ne khud ko itna dard diya.

Us pal…
Mujhe laga jaise saalon ka bojh halka ho gaya…
Jaise main pehli baar…
Sach me saans le raha hoon.

Ab main perfect nahi hoon…
Par main saccha hoon.

Ab main tootne se nahi darta…
Kyuki ab mujhe pata hai…
Main khud ko sambhal sakta hoon.

Kabhi kabhi aaj bhi dil karta hai…
Khud se milne ka…

Par ab wo mulaqat dard nahi deti…
Sukoon deti hai.

Ab main khud ko judge nahi karta…
Main khud ko samajhta hoon…
Aur zarurat pade… to gale laga leta hoon.

Aur aaj main khud se kehta hoon —

“Tu galat nahi tha…
Tu bas seekh raha tha.

Tu kamzor nahi tha…
Tu bas insaan tha.

Aur ab…
Tu akela nahi hai…
Kyuki tu khud ke saath hai.”

“Khud Se Mulaqat — (Part 1) Andhere Se Roshni Tak:”

“Insaan tab tak adhoora rehta hai,
jab tak wo khud se bhaagta rehta hai…
Aur jis din wo khud ka haath pakad leta hai,
us din andhera bhi uska raasta roshan kar deta hai.”

– Zulfikar Inamdar

“Khud Se Mulaqat — Andhere Se Roshni Tak:”

Arz kiya hai… ke…

Kabhi kabhi to mera khud se milne ka dil karta,
Maine bohot kuch suna hai apne baare me…

Har kisi ke paas meri ek kahani hai,
Magar ajeeb baat ye hai…
Us kahani me main kabhi khud nahi hota.

Kahin mujhe bewafa kaha gaya,
Kahin beparwah…
Kahin zarurat…
Aur kahin sirf ek aadat.

Par kabhi kisi ne ye nahi poocha…
Ke main khud apne baare me kya mehsoos karta hoon.

Kabhi kabhi main khud ke kareeb aata hoon,
To ek ajeeb sa darr lagta hai…
Kahin aisa na ho ke sach me main wahi hoon,
Jo duniya kehti hai.

Main khud se nazrein milane se ghabrata hoon,
Kyuki agar sach saamne aa gaya…
To shayad main toot jaaunga.

Aur sach bataun…
Main pehle hi toot chuka hoon.

Maine apni awaaz ko khamoshi me dafan kar diya,
Kyuki jab bhi bola… galat samjha gaya.
Maine apni muskurahat logon me baant di,
Aur badle me sirf tanhaayi mili.

Main dheere dheere apne hi andar kho gaya…
Itna ke agar aaj khud se milun,
To pehchaan bhi na paaun.

Aur phir ek din…
Main sach me khud ke saamne baith gaya.

Na koi awaaz thi… na koi ilzaam…
Bas main tha… aur meri rooh.

Maine dheere se poocha —
“Tu kaun hai…?”

Pehle to khamoshi rahi…
Phir ek halki si awaaz aayi —

“Main wahi hoon… jise tu ne sab ke liye chhod diya.”

Us pal sab kuch ruk sa gaya…
Jaise waqt ne bhi meri taraf dekh kar saans rok li ho.

Maine phir poocha —
“Tu itna akela kyun hai…?”

Aur wo muskura kar bola —
“Kyuki tu har kisi ka ho gaya… par kabhi khud ka nahi bana.”

Ye sun kar…
Mere andar kuch toot kar bikhar gaya…
Aur usi tootne me se ek ajeeb si roshni bhi nikalne lagi.

Mujhe samajh aaya…
Ke main bura nahi tha…
Main bas zyada sachcha tha.

Main kamzor nahi tha…
Main bas zyada mehsoos karta tha.

Aur meri sabse badi galti ye nahi thi ke log badal gaye…
Balki ye thi ke main khud ko bhool gaya.

Us din pehli baar,
Maine khud ko judge nahi kiya…
Maine khud ko gale lagaya.

Haan, main toot chuka hoon…
Par main khatam nahi hua.

Haan, main akela hoon…
Par ab main khud ke saath hoon.

Aur ab…
Agar duniya mujhe samjhe ya na samjhe,
Mujhe farq nahi padta…
Kyuki ab main khud ko samajhne laga hoon.

Kabhi kabhi to mera khud se milne ka dil karta…
Aur ab jab milta hoon,
To khud se ladta nahi…
Khud ko apna leta hoon.

Aur dheere se kehta hoon —

“Tu gira tha…
Par uth gaya.

Tu toota tha…
Par bikhar kar bhi khud ko jod gaya.

Aur ab…
Tu akela nahi hai.”

“Tu… Aur Tera Aakhri Sach:”

“Jab maut aati hai, to insaan se sab kuch cheen leti hai… siwaaye uske aamaal ke.”

– Zulfikar Inamdar

“Tu… Aur Tera Aakhri Sach”

Arz kiya hai… ke…

Tu gurur karta hai na…
Apni zindagi par, apni pehchaan par, apne wajood par…

Lagta hai tujhe ke tu kuch khaas hai…
Ke duniya tere hone se chal rahi hai…

Par sach sun…
Tu bhi unhi raaston ka musafir hai,
Jo seedha kabrastan ki taraf jaate hain…

Tu roz uthta hai, sapne banata hai,
Apni jeet ke liye logon ko peeche chhodta hai…
Kabhi kisi ka dil todta hai,
Kabhi kisi ko sirf isliye bhool jaata hai…
Kyunke tujhe lagta hai ke waqt bahut hai…

Par ek din…
Waqt tujhe bata dega ke woh tera kabhi tha hi nahi…

Ek din tu bhi aakhri baar aankhein band karega…
Aur tujhe pata bhi nahi chalega…
Ke jis duniya ko tu pakad ke baitha tha,
Woh tere haathon se phisal chuki hai…

Log tujhe ghusl denge…
Safed kapde mein lapet denge…
Aur phir…
Tujhe kandhon par utha kar le jaayenge…

Tu dekh raha hoga…
Par keh nahi paayega…

Tu sun raha hoga…
Par jawab nahi de paayega…

Aur jab tujhe mitti mein utaara jaayega na…
Tab pehli baar tujhe apni aukaat samajh aayegi…

Ke tu kya tha…
Aur kya ban gaya…

Na tera ghar tere saath aaya,
Na teri daulat, na tera rutba…

Sirf tu aaya…
Aur tere aamaal…

Aur sach to ye hai…
Tujhe apne aamaal ka bhi andaza nahi hai…

Jin logon ko tu apna samajhta tha,
Woh thodi der roenge…
Phir apni zindagi mein wapas laut jaayenge…

Aur tu…
Ek qabar mein akela reh jaayega…

Andhera hoga…
Khamoshi hogi…
Aur sirf ek sawaal hoga…

“Tu ne zindagi kis liye jee thi…?”

Aur us waqt…
Tere paas koi jawab nahi hoga…

Tab tootega tera gurur…
Tab bikhar jaayega tera wajood…

Aur tab tujhe samajh aayega…
Ke jis zindagi par tu itna fakhr karta tha…
Woh to bas ek imtihaan thi…

Aur tu…
Us imtihaan ko samajh hi nahi paaya…

“Main Zinda Nahi… Bas Ruka Hua Hoon:”

“Kuch log marte nahi… bas dheere dheere khatam ho jaate hain, bina kisi ko bataye.” 🖤

– Zulfikar Inamdar

“Main Zinda Nahi… Bas Ruka Hua Hoon”

Arz kiya hai ke…

Tera khayal hi kaafi hai zinda rehne ko,
Main mar na jaaun… tu agar waqai chali aaye…

Sach kahun…
Toh main jee bhi nahi raha,
Bas maut aur zindagi ke beech kahin atka hua hoon…

Teri yaadon ne mujhe itna bhar diya hai,
Ke ab mere andar mere liye jagah hi nahi bachi…

Main jab hasta hoon na…
Toh andar kahin ek cheekh dab jaati hai,
Aur jab rota hoon…
Toh lagta hai jaise koi aur ro raha ho mere andar…

Tera naam ab dua nahi raha,
Ek bojh ban gaya hai…
Jo har saans ke saath uthata hoon…
Aur har raat gir jaata hoon…

Maine tujhe itna chaha hai…
Ke ab mohabbat se bhi darr lagta hai,
Kyunki mohabbat ab sukoon nahi deti…
Sirf aadat ban kar dard deti hai…

Tu door hai…
Aur shayad isi liye khoobsurat hai,
Kyunki haqeeqat mein mil gayi…
Toh shayad itni khaas na lage…

Aur main…
Main bhi toh wahi hoon na…
Jo tere khayalon mein perfect lagta hai,
Magar haqeeqat mein toot chuka hai…

Ajeeb si zid hai meri bhi…
Main tujhe paana nahi chahta ab,
Main sirf yeh chahta hoon…
Ke main tujhe bhool bhi na paun…

Kyunki agar tu yaadon se bhi chali gayi…
Toh mere paas bachega hi kya…?

Ek khaali jism…
Jisme na rooh hogi, na awaaz…
Bas ek chalti hui aadat…

Aur phir ek din…
Main waise hi muskurate hue khatam ho jaaunga,
Jaise kabhi zinda hi nahi tha…

Aur agar us din tu waqai mere saamne aa gayi na…
Toh main tujhe pehchaan bhi na paun…

Kyunki jisne tujhe chaha tha…
Woh insaan toh kab ka mar chuka hoga…

Behta Hua Dard:

“Sabse zyada dhokha wahi dete hain jo shuru me sabse zyada meetha bolte hain…
aur sabse gehra dard wahi deta hai jise hum sabse zyada apna samajhte hain.”

– Zulfikar Inamdar

Behta Hua Dard:

Arz kiya hai ke…

Mujhe karne aate hai pareshan, apne mithe pyaare alfāzo me ghulkar,
jo lafz kabhi dua bankar dil par utarte the, aaj wahi zehar ban kar rag rag me phail jaate hain,
woh baatein jo kabhi sukoon deti thi, aaj unhi ki goonj se bechaini badh jaati hai,
aur hum samajh nahi paate ke galti un lafzon ki thi ya hamare yaqeen ki…

Woh muskurahat, woh lehja, woh narmi—sab kuch kitna sachcha lagta tha,
jaise har baat me ek apnapan basa ho, jaise har mulaqat me ek rishta sa jee uthe,
par dheere dheere yeh ehsaas hua ke kuch chehre sirf tab tak apne lagte hain
jab tak unhe tumhari zaroorat hoti hai, aur jab zaroorat khatam ho jaaye
to wahi chehre ajnabi bankar saamne khade ho jaate hain…

Jab unka kaam nikal jaye, to tum kaun aur hum kaun—
yeh sirf alfaaz nahi, yeh ek faisla hai jo woh khamoshi me suna dete hain,
aur hum der tak us khamoshi ko samajhne ki koshish karte rehte hain,
jaise kisi band darwaze se awaaz dene ki zid ho, jiska jawab kabhi aana hi nahi…

Hum unke liye jazbaat likhte rahe, woh humse zaroorat ka hisaab lete rahe,
humne wafa ko ibadat samjha, unhone use aadat bana kar chhod diya,
humne har rishta dil se joda, unhone har rishta waqt se tol kar tod diya,
aur aakhir me hum hi khud se haar gaye…

Dard ka asal matlab tab samajh aata hai,
jab koi tumhe chhod kar nahi, balki tumhe istemaal karke chhodta hai,
jaise tum kabhi the hi nahi, jaise tumhara koi wajood hi na ho,
jaise tum sirf ek zaroorat the, jiska waqt poora ho chuka ho…

Kabhi humne socha tha ke mohabbat me bewafayi hoti hai,
par baad me samajh aaya ke bewafayi nahi hoti,
log sirf apni asli surat tab dikhate hain
jab unhe tumhari zaroorat nahi rehti…

Phir ek din tum khud ke saamne khade hote ho,
aur poochte ho—main itna sasta tha ya woh itne mehange the,
par jawab me sirf ek gehri khamoshi milti hai,
jo dheere dheere tumhari rooh me utar kar
tumhe andar se badal deti hai…

Aur phir tum badalne lagte ho,
nafrat se nahi, samajh se…
tum lafzon ki meethas par yaqeen karna chhod dete ho,
tum chehron ke peeche chhupi niyat ko padhna seekh jaate ho,
tum wahan rukna chhod dete ho jahan baatein zyada aur sach kam hota hai…

Ab tum mohabbat nahi dhoondte, sukoon dhoondte ho,
aur sukoon un logon me kabhi nahi milta
jo rishton ko zaroorat ka sauda samajh kar jeete hain…

Aur jab koi poochta hai ke phir se waisa pyaar karoge,
to dil ek pal ke liye ruk jaata hai,
aankhein halka sa muskura deti hain,
aur rooh dheere se kehti hai—
ab hum sirf yaad rakhte hain, ehsaas nahi karte…
ab hum sirf samajhte hain, magar phir se tootne ki himmat nahi rakhte…

“Ya Tu Aa Ja… Ya Main Khatam Ho Jaaun:”

“Mohabbat kabhi kabhi jeene ki wajah nahi hoti…
bas har saans mein marne ka ehsaas ban jaati hai.”

– Zulfikar Inamdar

“Ya Tu Aa Ja… Ya Main Khatam Ho Jaaun”

Arz kiya hai ke…

Raah dekhenge teri, chahe sadiyan guzar jaaye…
Ya tu laut aaye, ya hum mitti mein bikhar jaaye…

Tere intezaar ne humein waqt se begaana kar diya…
Har lamha teri yaadon ne humein deewana kar diya…

Kabhi lagta hai tu kareeb hi kahin rehta hai…
Aur kabhi lagta hai tu sirf khwabon mein rehta hai…

Na tu samjha humein, na hum khud ko samajh sake…
Bas teri chahat mein hum apni duniya bhula sake…

Log kehte hain mohabbat insaan ko mukammal karti hai…
Par teri yaad ne humein aadha bhi na chhoda kabhi…

Har dua mein tera zikr, har sajde mein tera naam…
Jaise ibadat ban gayi ho tu, aur hum ban gaye gulaam…

Waqt guzarta gaya, par tu wahin ka wahin raha…
Aur hum har guzarte pal mein sirf tujhme hi fana raha…

Kabhi tu yaad aata hai to aankhen bhar jaati hain…
Aur kabhi tu bhool jaaye to saansein hi tham jaati hain…

Na gila hai tujhse, na shikwa zindagi se…
Bas ek adhuri kahani reh gayi hai bandagi se…

Har raat teri yaadon ka ek naya silsila hota hai…
Aur har subah us silsile ka ek naya janaza hota hai…

Main tujhe paane ki zid mein khud ko kho chuka hoon…
Aur tujhe bhool jaane ki koshish mein roz thoda aur mar chuka hoon…

Ab na umeed baaki hai, na shikayat koi…
Bas ek khaamosh sa safar hai, jisme manzil bhi tu hi koi…

Agar milna likha hi na tha kismat ke kisi panne par…
To phir itni mohabbat di kyun, ae Khuda… is jeevan ke safar par…

Aakhri lafz yahi hain…
Ya tu aa ja, ya phir humein bhi apni khamoshi mein sama jaane de…
Mohabbat agar gunaah thi… to saza mukammal ho jaane de…

Khushbu Jo Qismat Ban Jaaye:

“Jo log khushbu ban kar yaad rah jaate hain…
woh kabhi wapas nahi aate,
bas insaan ki poori zindagi ko mehka kar chhod jaate hain.”

– Zulfikar Inamdar

Khushbu Jo Qismat Ban Jaaye:

Arz kiya hai… ke…

Najaane kis khushbu se tarashe gaye ho tum,
Lagta hai Rab ki khamosh duaon se bane ho tum…

Phoolon ki mehak bhi sharma jaati hai tum par,
Kisi adhoori tamanna ka silsila ho tum…

Tumhari tasveer ko dekhu to waqt theher jaata hai,
Jaise bejaan lamhon mein rooh bhar gaye ho tum…

Log kehte hain tasveer sirf surat dikhati hai,
Magar mujhe har dafa khushbu suna gaye ho tum…

Yeh kaisa ehsaas hai jo samajh nahi aata,
Door reh kar bhi dil ke kareeb aa gaye ho tum…

Main hawaon mein tumhe mehsoos karta hoon har raat,
Jaise meri tanhaaiyon ka jawab ban gaye ho tum…

Kabhi lagta hai yeh mehak tumhari apni nahi,
Meri hi chahat ko lautakar sata gaye ho tum…

Aur kabhi dil darr se bhar uthta hai achanak,
Jaise meri zindagi ka imtihaan ban gaye ho tum…

Agar tasveer se hi itni mehak aati hai tumhari,
To saamne aa kar kaunsi qayamat dhaa gaye ho tum…

Shayad us lamhe meri saansein ruk si jaayengi,
Ya meri rooh ko hamesha ke liye chhoo gaye ho tum…

Kabhi kabhi tanha baith kar yeh sochta hoon,
Ke shayad meri qismat mein likhe hi nahi ho tum…

Aur agar likhe bhi gaye ho kahin taqdeer mein,
To itni der se ke main khud se hi kho chuka hoon…

Na main raha hoon pehle jaisa, na meri duniya waisi,
Bas ek khushbu hai jo aaj bhi mujhe jeene nahi deti…

Tum mile bhi nahi… aur kho bhi gaye ho tum,
Main zinda bhi hoon… aur mar bhi gaya hoon tum mein…

“Jaha Mohabbat Bhi Haar Jaati Hai:”

“Sabse gehra dard tab hota hai… jab tum jaan jaate ho ke jiske liye tum toot rahe the, wo tumhe dekh kar bhi kuch mehsoos nahi karta.”

– Zulfikar Inamdar 

“Jaha Mohabbat Bhi Haar Jaati Hai:”

Arz kiya hai ke…

Mai nahi chahta ke wo mere bulane se aaye…
Kyuki mohabbat agar awaaz maange,
To phir usme kuch bhi pavitra nahi bachta.

Main chahta tha ke wo khud mehsoos kare—
Meri kami, meri khamoshi,
Aur meri saansein jo uske naam par ruk ruk kar chalti thi…

Lekin ek waqt ke baad samajh aa gaya…
Ke mohabbat ek tarfa ho to ibadat ban jaati hai,
Par saamne wale ke liye sirf ek background noise reh jaati hai.

Main toot gaya…
Par ajeeb baat ye hai ke
Tootna dard nahi deta,
Dard tab deta hai jab pata chale
Ke saamne wale ko fark hi nahi pada.

Dil ne ek kadwi baat samjhi:
Mohabbat kabhi insaan ko nahi chhodti…
Insaan mohabbat ko chhod dete hain
Jab unhe koi aur aasani mil jaati hai.

Aaj main use nahi bulaata…
Kyuki zindagi ne ek kaala sach samjhaya—

Kuch log tumhara dard dekh kar nahi jaate…
Wo isliye jaate hain
Kyuki unhe tumhare hone se hi thakaan hoti hai.

Aaj main intezaar bhi nahi karta…
Kyuki intezaar ka sabse andhera pehlu ye hai
Ke tum har din khud ko samjhate rehte ho
Ke “shayad wo aayegi”…
Jab ke dil ke kisi kone me
Tum jaante ho ke wo kabhi aane wali nahi.

Philosophy kehti hai—
Haqeeqat ko kabhi roohani rang me mat dekho;
Waqt batata hai
Ke mohabbat ek ehsaas nahi…
Ek dhoka bhi ban sakti hai
Jab tum usse galat insaan par barbaad kar do.

Aaj mujhe ye tak yaqeen nahi
Ke wo kabhi mujhe milegi ya nahi…
Par ek baat ka yaqeen ho gaya hai—

Kuch judaiyaan qismat nahi deti…
Insaan khud likh kar chale jaata hai,
Chup chaap, bina mud kar dekhe,
Jaise tum kabhi uske the hi nahi.

Aur sabse sakht baat?
Mohabbat ka jawab har baar mohabbat nahi hota.
Kabhi kabhi jawab
Ek thandi si khamoshi hoti hai—
Jo saaf keh deti hai:
“Tum galat jagah dil rakh kar baithe the.”

Woh Zakhm Jo Sabse Zyada Sikhate Hain:

“Zakhm ne mujhe toda nahi…
balki mujhe woh bana diya
jisey duniya kabhi gira nahi sakti.”

– Zulfikar Inamdar

Woh Zakhm Jo Sabse Zyada Sikhate Hain:

Arz kiya hai…ke…

“Jo dard chup kar seh liya jaye… wohi insaan ko sabse zyada badal deta hai.”

⸻

Kabhi socha hai…
Zakhm kitne ajeeb hote hain…
Jitna dikhte kum hain, utna andar se insaan ko cheer kar rakh dete hain.
Aur sabse gehra zakhm woh hota hai
jo kisi aur ne nahi,
khud insaan ne apne upar lagaaya hota hai…
apni khamosh galtiyon, apni raaton ki bechainiyon,
aur apni sochi na jaane wali baaton se.

Log samajhte hain takleef dusron ne di…
Lekin asli zindagi tab samajh aati hai
jab aadmi ek raat khud se ladte ladte thak jaata hai,
aur usay ehsaas hota hai ke
uske gham ka aadha bojh duniya ka nahi—
uski apni chupi hui sachchai ka hota hai.

Rehan ke alfaazon me ek baat hoti hai:
“Dard tabhi dard banta hai jab woh bolta nahi,
sirf chubhta rehta hai.”
Aur woh chubhne wale pal hi aadmi ko sabse zyada sikha dete hain.

Koi rone ko dekh kar samajh nahi paata,
ke aansu wajah se nahi behte…
jab wajah samajh aati hai tab dil toot chuka hota hai.
Aur jab dil toot jaata hai na bhai…
insaan pehle jaisa reh hi nahi sakta.

Us waqt zakhm saza nahi lagte…
woh ek dard bhare ustaad ban jaate hain—
jo insaan ko woh seekh de dete hain
jise duniya ka koi kitaab, koi nasihat nahi de sakti.

Aur sabse ajeeb baat?
Woh zakhm jo sabse zyada rulaye the,
aakhir me wohi insaan ko sabse zyada sambhal dete hain.
Wohhi usay samajh dete hain…
ke kaun saath tha, kaun thaam kar chhoda,
aur kaun bina bole dil me reh gaya.

Zakhm jab bante hain tab takleef dete hain…
par jab bharte hain na—
to insaan ki aankhon ko gehraai,
uske lafzon ko wazan,
aur uske dil ko insaaniyat de jaate hain.

Aur ek pal aata zaroor hai…
jis din aadmi piche mur kar kehta hai:
“Shukar hai ke woh zakhm mile…
warna main aaj jo hoon…
kabhi ban hi nahi paata.”

“Wo Jo Duaon Mein Hai…”

“Jo mohabbat dua ban jaye… wo kabhi adhoori nahi hoti.”

– Zulfikar Inamdar

“Wo Jo Duaon Mein Hai…”

Arz kiya hai…

Mujhe nahi maloom wo mujhse door kyu hai…
Mujhe nahi maloom wo mujhse pareshan kyu hai…
Khafa hai, majboor hai, ya thak chuki hai…
Mujhe kuch bhi nahi maloom…

Bas itna jaanta hoon…
Ke meri har saans me uska hi zikr hai,
Meri har dhadkan me uska hi naam hai,
Wo meri zindagi hai… meri har khushi ka sabab hai.

Kabhi kabhi lagta hai…
Kya meri mohabbat kam pad gayi thi?
Ya meri khamoshiyon ne use dukh pohchaya?
Ya phir naseeb ne hi use mujhse door kar diya…
Par dil ke inn sawalon ka koi jawab mere paas nahi…

Jo mere paas hai, wo sirf ek cheez hai—
Uske liye uthti hui meri dua.
Chahe wo paas ho ya door,
Mera dil uske liye hi dhadakta rahega,
Meri har raat uski yaadon me sulagti rahegi…

Ya Rab…
Agar wo pareshan hai, to uski har pareshani ko sukoon me badal de.
Agar wo bimar hai, to apni rehmat se usko shifa ata farma.
Agar wo karz me dubi hai, to uski adaigi ke raaste asaan kar.
Agar wo kisi bhi takleef me hai,
To uski har takleef ko apni rehmat me lapet le…

Aur agar wo andar se toot rahi hai,
To uski rooh ko phir se jodh de,
Uske dil ko phir se roshan kar.

Kabhi kabhi lagta hai…
Meri duaon ne shayad use chhoo liya hoga,
Isiliye wo thodi kam pareshan hogi.
Shayad uski muskurahat me kahin mera zikr chhupa hota hoga,
Jaise meri fariyaad hawaon ke zariye us tak pohch jaati ho…

Main use paana nahi chahta ab…
Bas itna chahta hoon ke wo hamesha khush rahe,
Chahe meri kami uske paas mehsoos ho ya na ho…
Par tu, ya Rab, usko itna khush rakh
Ke uski duniya me kabhi andhera na aaye.

Aur agar kabhi meri yaad uske dil me aaye…
To uski aankhon me aansu na ho,
Bas ek halka sa muskurana ho—
Ke kabhi koi tha… jo use beinteha chahta tha.

Ya Allah…
Meri zindagi ko bhi khush rakh,
Par uski zindagi ko tu hamesha aasaan rakh…
Kyuki mere liye mohabbat ka matlab milna nahi—
Balke uske liye roz dua karte rehna hi mohabbat ka asal roop hai…