Ankahi Baaton Ka Saaya:

“Khamoshi wo raaz hai jo lafzon se zyada saccha hota hai…
Aur dard wo mehmaan hai jo hamesha bina awaaz ke aa kar sabak de jaata hai.”

– Zulfikar Inamdar

🌑 Ankahi Baaton Ka Saaya 🌑

Arz kiya hai… ke…

Sochta hu ke kuch kisise kahu…
Aur phir sochta hu, nahi kaha wo hi accha hua…
Ajeeb si baat hai,
Insaan jab zindagi se thak jaata hai,
Toh uske lafz kam ho jaate hain,
Aur saanse zyada.

Raat ke sukoon me jab sab so jaate hain,
Tab lagta hai ke shayad khuda bhi mere dil ki dhadkan sun raha hoga.
Par uski khamoshi me ek ajeeb si baat hai—
Woh jawab nahi deta,
Magar kisi tarah samjha deta hai
Ke kuch baatein zubaan ke liye nahi hoti…
Woh rooh ke liye hoti hain.

Main bhi jab kisi ko kehna chahta hu,
Toh pehle khudi se poochta hu—
“Zulfikar… kya saamne wala teri tanhaayi ka bojh utaar payega?”
Aur jawab har dafa ek hi hota hai:
“Nahi.”

Log sirf wo dard samajhte hain
Jo unhe ya unke apne logon ne diya ho.
Tumhara dard…?
Woh unke kaam ka nahi hota.
Aadmi apni hi chot par fikr karta hai.
Dusre ke zakhmon ka darr toh bas ek formal si aadat hoti hai.

Isliye jo baat main kisi ko batana chahta tha,
Main ne ussey andar hi daba diya.
Dil me, rooh me, saanson ke beech me.
Woh baat ab kisi se kam nahi,
Ek ibadat jaisi ho gayi hai.

Kabhi kabhi lagta hai —
Agar woh baat kisi ko keh deta,
Toh shayad main halka pad jaata…
Par phir sochta hu —
Halke log halki baatein samajhte hain,
Wazan wala dard sirf wazan wale log hi utha sakte hain.

Aur duniya me wazan wale log kam hote hain,
Isliye maine khud ko hi apna humdard bana liya.

Ab meri baatein khuda ke paas chali jaati hain,
Aur khuda ki khamoshi mere paas waapas aa jaati hai.
Dono ke beech ek ajeeb sa silsila ban gaya hai—
Main dard bhejta hu,
Woh sukoon nahi bhejta,
Par himmat bhej deta hai.

Jo baat main kisi se nahi keh paaya,
Woh ab meri rooh ki sabse gehri kahani ban chuki hai.
Aur kahaniyan jab rooh me bas jaati hain,
Toh unhe kehne ki zarurat nahi padti…
Woh insaan ki aankhon me dikh jaati hain.


Aakhir me sirf ek baat samajh aayi:
Jo nahi kaha, usne mujhe tod kar bhi mazboot banaya…
Aur jo keh deta, woh shayad mujhe tod kar chhod deta.

Muskaan Aur Dhoka:

Quote

“Muskaan aisi hoti hai jo door rehkar bhi dil me basi rahe,
Har yaad me jagaye, har dhadkan me zinda rahe,
Aur har aansu me apni narmi ka ehsaas de… bas tum…

Muskaan Ka Dhoka:

Arz Kiya hai…

Mai kehta hu, tumhari muskaan badi pyaari hai…
Magar ye mera pyaara sapna, asliyat me aane nahi deta…
Tum door rehkar bhi dil me itni gehri basaayi ho,
Ke haal-e-dil kisi aur ko batane nahi deta…

Har raat tumhari yaadon ka ujala sa chhaya rehta hai,
Par ye andhera sa waqt, tum tak mujhe jaane nahi deta…
Main ruk bhi jaau, sambhal bhi jaau, phir gir jaata hu,
Kyunki dil ka dard kabhi apni had se aage jaane nahi deta…

Meri har muskaan me tera aks chhupa rehta hai,
Aur har aansu me tera naam rooh tak jaata hai…
Koi samajh nahi paata, par ye dil jaanta hai,
Ke tum bin saari duniya sunni aur khamosh lagti hai…

Kabhi socha tha, shayad waqt sab dard mita de…
Magar har yaad tumhari, har muskaan tumhari,
Ek nayi tadap, ek nayi khushi, aur ek nayi udaasi laati hai…
Dil ke kone me bas ek dua hai — tum khush raho,
Chahe mere sapne kabhi asliyat me na aa paye…

Tumhari khamoshi bhi mere liye shor ban jaati hai,
Aur tumhari doori bhi mere liye ek garam sa dard…
Main apni khud ki chhoti si duniya me,
Tumhari yaadon ka saaya le kar jeeta hu…

Har subah tumhari ek muskaan ki talaash me uthta hu,
Aur har raat tumhari yaadon ke saath soti hu…
Koi jaan nahi sakta, par ye dil har pal tumhe mehsoos karta hai,
Har dhadkan me tumhara naam, har saans me tumhari khushboo…

Log kehte hain, bhool ja… pyaar ka dard sirf waqt ke saath kam ho jata hai…
Par ye dil… ye dil to tumse juda hone ko mana karta hai…
Tum ho to saari duniya rangin hai,
Tum nahi ho to har chehra, har pal, har jagah adhoora lagta hai…

Aur jab kabhi tumhari muskaan yaad aati hai,
To lagta hai, shayad bas ek pal ke liye,
Zindagi me sab kuch theek ho gaya…
Phir bhi, ye sapna hi rahe jaata hai, asliyat nahi ban paata…
Aur mai bas yahi soch kar khud ko sambhalta hu…
Ke tumhara khayal hi meri duniya hai,
Aur tumhari muskaan… meri rooh ka aakhri sahara hai…

Har pal tumhari yaadon me jeeta hu,
Aur har pal tumhari doori se tadapta hu…
Mai jaanta hu, shayad kabhi tumhe ye dard mehsoos na ho,
Par ye dil, ye zindagi, tumhare bina adhoori hai…

Tum meri har dua me ho, meri har tasveer me ho,
Aur mere har khayal ka aakhri manzil… tumhari muskaan hai…
Chahe ye sapna hi rahe, aur sach na ban paye,
Mai phir bhi har pal tumhe mehsoos karta rahunga,
Har saans me, har dhadkan me, aur har khamosh lamhe me… bas tum… aur sirf tum…

Kabhi lagta hai, shayad tum sirf ek khayal ho,
Jo mujhe jeene ki wajah aur rote ki wajah dono deta hai…
Phir bhi, ye khayal hi itna gehra hai,
Ke har lamha tumhare saath hi saje…
Aur ye dil, ye rooh, ye saari zindagi tumhari yaadon me basi rahe…

Aur jab tumhara naam mere labon pe aata hai,
To lagta hai, jaise har dard ka ek pal ke liye sukoon mil gaya…
Par fir yaad aata hai, ye sapna hi hai, aur tum door ho…
Aur fir se har aansu ek nayi kahani kehta hai,
Ek nayi tadap, ek nayi mohabbat… aur ek nayi umeed…

Rooh Ki Awaaz:

“Kabhi kabhi kisi ki yaad itni gehri ho jaati hai,
ke rooh awaaz deti rehti hai…
par samne wala kabhi sun hi nahi pata.”

– Zulfikar Inamdar

🌙 “Rooh Ki Aawaaz”

Usey kya khabar ke mai khwaab hu,
Wo jo ghum hai mere sapno ki haqiqat me…
Mai chup sa rehta hu, lekin meri khamoshi ke neeche
Uska naam roz hilta rehta hai mere dard ki satah par.

Raat jab bhi bechaini ka haath pakadti hai,
Koi rooh ke andar se awaaz deti hai—
“Tu ab bhi usi ka hai… chaahe duniya ko kabhi na pata chale.”
Aur mai ruk jaata hu, jaise waqt ne kadmon ko pakad liya ho.

Meri palkein bojhal, meri saansein halki,
Par mere andar ek gehri si pukaar—
Jo har raat ke andhere me
Mujhe us tak le jaane ki zid karti rehti hai.

Kai baar lagta hai, Zulfi,
Main jeeta hi uski awaazon ka bojh uthakar hu—
Wo awaaz jo kabhi uski thi,
Aur ab sirf meri rooh ka daag ban kar reh gayi hai.

Kisi se kya kahu?
Woh toh be-khabar hi raha mere girte sambhalte jazbaat se,
Usko kya maloom mera har intezaar
Kaise meri rooh ki seedhiyon se utarta chadhta raha…

Kayi khwaab toot gaye…
Par uski yaad ki ek kiran ab bhi
Raaton ke sannate me chamakti hai—
Jaise koi bikhra hua sitara mujhe pukaar raha ho.

Mai kabhi usse azaad nahi hua,
Aur na hi kabhi poori tarah bandha raha…
Bas ek ajeeb si lakeer hai hum dono ke darmiyan,
Jo na mit-ti hai,
Na poori tarah dikh paati hai.

Kabhi lagta hai ke uski yaad hi meri zindagi ka asal ghar hai—
Jahan mai laut kar rota hu,
Muskurata hu,
Aur fir chup ho jaata hu…
Jaise saal bhar ki thakawat ek hi naam me sama gayi ho.

Usey kya khabar ke mai khwaab hu…
Wo toh kabka bas gaya hai meri saanson, meri riwayaton,
Meri tanha dard bhari raaton me—
Ek aisi aawaaz ki tarah
Jo na poori tarah jinda hoti hai,
Na kabhi marne deti hai mujhe.

Jab Usne Milkar Kaha:

“Kuch chehre dil se nahi utarte… chahe saari duniya unhe bhool jaaye.”

– Zulfikar Inamdar

Jab Usne Milkar Kaha…

Arz Kiya Hai…

Jab usne milkar kaha, “Bas Zulfi… bhool gaye?”
Ye lafz sunte hi andar ke saare sahare toot gaye…
Mere haath-pair ek dum se sann sa ho gaye…
Jaise saari umeedein beech raste hi thokar kha kar gir gaye…

Dil ne ek hi pal me poori ek zindagi dobara jee li…
Uski awaaz ne woh sab raatein, woh sab waqt yaad kara diya
Jahan main uske bina bhi uske saath zinda rehne ki
Be-imaan si koshish karta tha…
Aur har subah uski yaadon ka karz utaarne ki dua karta tha…

Woh saamne khadi thi, par jaise dooriyon ka
Ek azaab mere aur uske beech gir gaya ho…
Main kehna chahta tha ke
“Bhoolna hota to roz khud ko sambhalna na padta,
Roz teri tasweer se baat karna na padta…”
Par alfaaz zubaan tak aaye…
Aur phir meri khamoshi se hi haar gaye…

Uski aankhon me thodi si shikayat thi,
Par mere andar to poora toofan barpa tha…
Main kaise batata ke mohabbat koi daftar ka kaam nahi
Ke waqt ke baad band ho jaaye…
Ye to us dhadkan ki tarah hoti hai
Jo ruk bhi jaaye… par naam tera hi leti hai.

Kaash woh jaan pati ke
Hum jaise log kisi ko nahi bhoolte…
Hum sirf dard chhupa kar
Uska naam aur gehra likh lete hain…
Aisa likh lete hain ke
Bhagwan bhi poochhe to hum keh dein—
“Isko mita kar kya hasil hoga?”

Aur jab woh ye keh kar mud gayi
Ke “bhool gaye”…
Tab meri ruh ne andar hi andar jawab diya—
“Kaash tumhe pata hota ke main abhi tak
Tumhari aakhri nazar me hi atka hua hoon…”

Raat ko ghar aakar main phir wahi purane kaagaz
Aur uske bheje hue alfaz dekh kar socha…
Insaan bhoolta us waqt hai
Jab uske dil me koi rehne wala na ho…
Aur main toh ab bhi har dua me
Uska naam sabse aage rakhta hoon…
Chahe woh wapas aaye ya na aaye,
Magar uski yaadon ne mujhe
Zinda rakhne ka hunar sikha diya hai…

Aakhir me sirf ek baat samajh aayi—
Mohabbat jise dil se karte hain…
Usko bhoolna aadmi ki aukaat me hi nahi hota.

Chorhna Na Padhe…

“Mohabbat kabhi chhodne ka naam nahi…
Par kabhi kabhi insaan ki majboori, aur beparwahi
Uske dil ko chhodne pe majboor kar deti hai.”

– Zulfikar Inamdar

Chorna Na Padhe…

Arz kiya hai… ke

Mai chahta nahi hu tujhe chhorna, magar…
Itna bhi mat sataa, ke tujhe chhorna pade…
Har lamha, har pal, teri yaadon ki barish me bheegta hoon,
Par tu yun hi door, jaise khud meri mohabbat se anjaan…

Tu kehti hai samajh mujhe,
Par khud kabhi mere dil ka bojh mehsoos kiya?
Tu kehti hai waqt de…
Par mere waqt ke zakhmon ko kabhi toh nazar andaz na kiya…
Main to har pal tera saath maangta raha,
Par tu ne har pal mujhe tanha chhod diya…

Kabhi kabhi sochta hoon,
Shayad tu samajh hi nahi sakti
Ke insaan ka dil kitna toot sakta hai
Jab pyaar waisa na ho, jaise shuru me tha…

Raat ke andhere me, teri kami itni gehri mehsoos hoti hai,
Ke khuda se bhi shikayat karne ka mann hota hai…
Phir yaad aata hai,
Khuda mohabbat deta hai, aur insaan ki majboori se
Dard ka bojh barhata hai…

Tere roothne ki chhoti si ada,
Mere din raat ke jazbaat ko jala deti hai…
Har lamha, har pal, main apne aap se ladta hoon
Ke tu wapas aayegi ya nahi…
Par ye ladayi kabhi khatam nahi hoti…

Main chahta hoon tu wapas aise aaye
Jaise barish ke baad mitti me mehak aati hai,
Jaise purani dosti me phir se ehsaas laut aata hai…
Par agar tu aisa nahi kar sakti,
To phir mujhe bhi apne aap se poochna padega:
Kya main sirf mohabbat ke bojh ko uthata rahun?

Kabhi kabhi lagta hai,
Mohabbat me sabse bada dard ye nahi hota
Ki koi chhod jaaye,
Sabse bada dard tab lagta hai
Jab koi saath ho… par waisa na ho
Jaise hona chahiye tha…

Mai chahta nahi hu tujhe chhorna, magar…
Agar tune yunhi door rehna rakha,
To shayad ek din majboori me
Mujhe khud ko hi chhorna pade…
Insaan mohabbat ke liye marte hain,
Beparwahi ke liye nahi…

Aur phir bhi, main har pal tere khayalon me jeeta hoon,
Har muskaan me basa hoon,
Har aansu me tera chehra dekhta hoon…
Par tu, bhai, ab bhi yun hi door…
Aur mera dil… ab bhi tere liye dhadak raha hai…
Chahe tu wapas aaye ya na aaye…
Chahe tu samjhe ya na samjhe…
Mera pyaar… hamesha tera rahega… ❤️

Main Hi Galat Tha…

“Logon ne mujhe galat tab bola… jab maine unke jhooth se zyada apni sacchai pe yaqeen rakha.”

– Zulfikar Inamdar

Main Hi Galat Tha…

Arz kiya hai… ke…

Har waqt lagta hai ke main hi galat tha,
jaise meri har saans kisi gunaah ka pata deti ho,
jaise meri sacchai ka bojh
meri hi peeth todne ke liye likha gaya ho.

Logon ki woh khokhli muskurahat—
jo zara sa jhuki nahi hoti,
zara sa pighalti nahi hoti—
wo mujhe har roz yeh yaqeeni dilaati rahi
ke problem main hoon…
magar aaj tak kisi ne yeh nahi socha
ke shayad main bas zara sa zyada insaan hoon.

Kabhi kabhi to main khud ko hi poochta hoon,
“Tu itna toot kar bhi sambhal kaise leta hai?”
Aur dil ke andar se awaaz aati hai:
“Aadmi tab tak toot nahi sakta
jab tak uske aansu ki jagah dil me hi zinda ho.”

Raat ki sanata bhari hawa me,
jab log mehfooz neend so rahe hote hain,
main akela apni saanson ka hisaab rakhta hoon—
kaunsi saans me dard tha,
kaunsi me uski yaad,
kaunsi me duniya ka thok diya hua ilzam.

Aur tab yaad aati hai woh,
jise dekh kar laga tha
ke shayad meri zindagi me bhi roshni ka ek hissa utrega.
Par roshni kya aayi—
meri saari zindagi ko chand lamhon ki roshni ne
doobti raat bana diya.

Uska jaana kisi wafadar saathi ka chhute jaane jaisa nahi tha,
wo to jaise kisi ne meri rooh ko aadha khel kar tod diya ho.
Aaj bhi jab uski tasveer aankhon me aati hai,
dil ke andar se awaaz nikalti hai:
“Agar main galat tha…
to itna dard sahi kyun lagta hai?”

Log kehte hain waqt sab theek kar deta hai—
magar waqt ne to mujhe bas sikha diya
ke kuch zakhm bharne ke liye nahi,
sirf jeene ke liye hote hain.

Aur haan…
logon ke lafz, unki nigaahein,
unke be-lafz faislay—
yeh sab mujhe har baar yeh batate rahe
ke main unke hisaab se galat hoon.
Par unka hisaab bhi kya tha?
Bas ek dikhawa, ek adaa, ek jhooth,
jo unke chehre ko sundar
aur dil ko be-jaan banaye rakhta tha.

Jo main maanta hoon,
uski sachchai duniya nahi uthaa paati.
Aur jo duniya chahti hai,
wo main apne zameer par jhel nahi paata.

Isliye aaj main khud se ek e’tiraf karta hoon—
Agar mere hisaab se dekhoge,
to main bilkul galat nahi tha…
Par agar duniya ki nazron se dekhoge,
to haan bhai,
main hi sabse zyada galat tha.

Kyuki
main ne imandari se mohabbat ki,
wafa se saath diya,
sacchai se jeeya,
aur dil se toot gaya.

Aur iss duniya me
sachcha insaan hi sabse zyada galat maana jaata hai.

“Dard ye nahi ke log mujhe galat samajhte hain…
dard ye hai ke shayad main unke liye
zara sahi tha hi nahi.”

Bardaasht Ke Saaye:

“Har muskaan ke peeche ek toofan chhupa hota hai,
Aur har chhupaye gaye aasu, ek kahani kehte hain.”

– Zulfikar Inamdar

Bardaasht Ke Saaye:

Arz kiya hai ke….

Koyi kya lagayega meri bardaasht ka andaaza,
Maine mar jaane jaisa waqt bhi jee kar guzara hai…
Jab saans bhi bojh ban jaaye, aur khamoshi cheekh ban jaaye,
Tab zindagi ko muskurake sambhalna,
Bas ek majboori nahi… ek ibadat sa lagta hai.

Mere dard ko log afsaana samajh lete hain,
Par sach yeh hai ke maine raaton ko ro kar,
Subah ko bilkul theek hone ka natak kiya hai.
Maine har toote hue pal ko,
Apne hi seene me daba kar zinda rakha hai.

Main gir bhi jaaun to kisi ko pata bhi na chale,
Aisi aadat ho gayi hai chup rehne ki…
Aur duniya ko lagta hai ke main hamesha theek hoon,
Kyuki main ne dard ko bhi adaao me pehna rakha hai…

Har muskaan ke peeche, ek kahani chhupi hai,
Jo shayad sirf khud hi samajh sakta hoon.
Mere jazbaat, mere khwab, aur mere aansoo,
Sab ek hi silsile me bandhe hain –
Ek aisi talash me jo kabhi poori na hui,
Aur ek aisi umeed jo har waqt tootne ko tayyar thi.

Main ne khud se ladte ladte,
Apni rooh ko itna majboot bana liya,
Ke har chhoti si toofan bhi,
Mujhe hilane ki himmat na kar sake.
Aur phir bhi, andar hi andar,
Har lamha ek chubhta hua saaya bana rehta hai,
Jo kabhi kisi ko dikhai nahi deta.

Koyi kya samajhega meri tanhaaiyon ka wazan,
Jab maine apni har khushi ko chhupaya hai,
Aur har gham ko gale se lagaya hai.
Main ne waqt ke saath har imtehaan sahe hain,
Aur har aasu, ek dastaan ban gaya hai,
Jo sirf khud se poochti hai: “Tu kab thakega?”
Par main ne kabhi haar nahi maani,
Bus muskuraya aur aage badhta raha…

Phir bhi raat ke andheron me,
Mujhe khud se hi baatein karni padti hain,
Woh baatein jo kabhi kisi se na keh sakta…
Har yaad, har chhota sa khwab,
Ek bhari hui kahani banke mere dil me bas gaya hai.

Jab sapne tut jaate hain aur umeeden giri hoti hain,
Tab bhi maine apne aap ko sambhala hai,
Aur khud se wada kiya hai ke main khud ko todne nahi dunga.
Har aansoo, har chhupaya gham,
Bas ek yaad ban gaya hai, ek shikayat ban gayi hai,
Aur phir bhi muskaan, ek mask ban gayi hai,
Jo duniya ke liye hai, par sirf main jaanta hoon…

Aur shayad yehi bardaasht hai,
Jo sirf zinda rehne ka sahara nahi,
Balki ek jazbaat hai, ek rooh ka imtehaan hai,
Jo har pal mere andar gunj raha hai,
Aur main, phir bhi, khud ko aage badhta paata hoon…

Kaash Woh Laut Aaye…

“Mohabbat ka asli rang tab dikhta hai
Jab doori ke bawajood, har dhadkan sirf ek hi naam ke liye dhadakti hai.”

– Zulfikar Inamdar

Kaash Woh Laut Aaye…
— ek bechaini, ek mohabbat jo kabhi kam nahi hoti

Arz kiya hai… ke…

Kaash woh laut aaye…
Aur aate hi meri taraf ruk kar dekhe
Jaise uski zindagi ka har adhoora lamha
Aaj meri aankhon me poora ho raha ho.

Kaash woh dheere se kahe,
“Tum hote kaun ho…
Jo meri doori ne
Mujhe itna tanha aur khaali kar diya?
Tumhare bina zindagi to chalti rahi…
Lekin main ruk gayi thi.”

Kaash woh apni saansein rok kar
Ek lamha ke liye sirf mujhe dekhe,
Jaise mere chehre me hi
Uska sukoon chhupa ho…
Jaise uske dard ka ilaaj bhi
Meri awaaz me hi ho.

Kaash woh aahista se bole,
“Main mazboot dikh rahi thi…
Lekin haqeeqat ye hai ke tumhare bina
Main poori tarah toot rahi thi.”

Kaash woh apni aankhon me jamay hue
Saare aansu gira kar kahe,
“Tumhe chhodna
Mera intekhab nahi tha…
Meri kamzori thi.”

Kaash woh raat ke khamoshi ko samjhaaye
Ke ab woh akeli nahi…
Woh wapas aa gayi hai
Wohin jahan uska dil
Sukoon dhundta tha.

Kaash woh apne haathon se mera haath pakad kar bole,
“Tumhare bina zindagi adhoori thi…
Ab main wapas aayi hoon,
Tumhare saath har lamha jeene ke liye.”

Kaash woh keh de,
“Tumhari yaad bhi ajeeb thi…
Raat bhar jagati,
Subah uth kar rulati,
Aur din bhar dheere se yaad dilaati
Ke tum sirf mere ho.”

Kaash woh laut aaye…
Aur mere seene par sir rakh kar kahe,
“Main thak gayi hoon…
Tumhara intezaar kar kar.
Ab mujhe meri asli jagah de do…
Jahan se main kabhi gir na sakoon.”

Kaash us lamhe
Zindagi ka har bojh halka ho jaye…
Har gila, har shikayat
Ghula kar poori mohabbat ban jaye.

Kaash woh laut aaye…
Aur uske aane se
Meri rukhi hui saansein
Phir se chal padhen…
Meri khamoshi phir se bol uthe…
Meri tanhaayi phir se roshni ban jaye.

Kaash woh mere saamne khadi ho kar
Bas itna kahe—
“Tum hote kaun ho…
Mujh se yun bichhadne wale?
Main tumhari hoon…
Aur tum hi mera naseeb ho.”

Kaash…
Sirf ek baar…
Bas ek baar ki wapsi.

Aur phir woh pal aaye
Jahan hum dono ke dil
Ek hi dhadkan me mil jaaye…
Aur zindagi ka har lamha
Sirf mohabbat aur sukoon se bhara ho…

Kaash woh wapas aaye…
Aur har raaz, har ehsaas,
Har aansu aur har muskan
Sirf hamari ho jaaye.

Kaash woh meri aankhon me aankhein daal kar kahe,
“Ab main tumse door nahi jaungi…
Ab tum mera ho…
Aur main sirf tumhari.”

Kaash…
Bas ek baar…
Ek aisi wapsi jisme
Har dard ghul jaaye,
Har tanhaayi mita jaaye,
Aur sirf mohabbat rahe.

Mitti Ka Safar:

“Mohabbat sirf paane ka naam nahi…
Mohabbat jeene, bardasht karne, rooh ko gehra karne, aur Khuda ki rehmat ko mehsoos karne ka naam hai.”

– Zulfikar Inamdar

Mitti ka Safar:

Arz kiya hai ke…

Na koyi saath tha mere,
Na koyi saath hai mere,
Woh muskaan jo dil ko choo jaati thi,
Aaj sirf yaadon me ghuli rehti hai…
Aur mai bas khamoshi me apna dil samajhta hu.

Mai tanha tha—
Jahan log bas rang bharte the,
Mai wahan sirf khamoshi ki kala dekh raha tha,
Aur har raat, har andhera
Mujhe sirf apne andar ka dard dikhaata tha.

Raaton me yaad aati thi…
Uski hasi, uski baatein,
Chhoti chhoti baton ki woh khushi,
Aur mai sochta, kyun sab kuch sirf yaadon me reh gaya?
Aur phir har yaad ek nayi aah ban jaati,
Jo rooh ke kone me chhup kar jalti rehti.

Mai tanha hu—
Par mohabbat ki woh aag
Ab sirf yaadon me nahi,
Har dhadkan me bas gayi hai,
Jo mujhe jeene ka sabab deti hai
Aur har dard ko roohani taqat me badal deti hai.

Aur phir mai sochta hu…
Har chhoti khushi jo maine paayi,
Har aansu jo behaye…
Woh sab ek raah ki taraf le jaate hain—
Jahan Khuda mujhe sikha raha hai
Ki mohabbat sirf paane ka naam nahi,
Uska asli rang bardasht, samajh, aur rooh ko gehra karna hai.

Meri ye zaat bhi mitti…
Meri auqat bhi mitti…
Aur is mitti me ab ek jazba hai,
Jo har yaad ko ek kahani,
Har dard ko ek shayari,
Aur har tanhaai ko ek raah banata hai.

Mai mitti tha…
Toh logon ne mujhe pairon se kuchala,
Aur mai chhup kar girta raha.
Par ab mai mitti hu,
Aur har girna ek nayi udaan ban gaya hai.

Mai mitti hu—
Har dhadkan, har yaad, har aah
Mujhe ek nayi himmat deti hai,
Ek nayi umeed, ek nayi roshni.

Aur mai mitti hi rahunga—
Par ye mitti ab mehsoos karti hai:
Jo dard diya, usne hi mohabbat ka rang aur gehra kiya,
Aur Khuda ka paighaam ye hai:
Dard ke andar bhi ek raah hai,
Aur mohabbat ke har kona me ek roshni ka intezaar hai.

Mohabbat bhi kya cheez hai…
Jo door ho kar bhi saath hai,
Jo judaa ho kar bhi rooh ke andar basta hai,
Aur jis dard me bhi hum chal rahe hain,
Woh dard hi hume Khuda ke kareeb le jaata hai.

Tanhaai bhi kya cheez hai…
Jab dil ko todti hai,
Mohabbat ka rang aur gehra kar deti hai,
Aur har yaad ek nayi seekh ban jaati hai:
Ke mai sirf mitti nahi,
Ek rooh bhi hu…
Jo ab mohabbat me aur gehri, aur aur gehri ho gayi hai.

Har raat ka andhera,
Har aansu ki dhar,
Har yaad ki chamak,
Aur har dard ka bojh…
Ab sirf ek cinematic safar hai,
Jahan mai tanha chal raha hu,
Par rooh me ek jazba, ek umeed,
Aur mohabbat ka roshan rang le kar chal raha hu.

Khamoshi Ke Baad:

“Zinda logon ko pyaar aur qadr de diya karo… Varna maut ke baad sirf afsos reh jaata hai.”

– Zulfikar Inamdar

Khamoshi Ke Baad:

Arz kiya hai

Maut ke baad hum samajh me tab hi aayenge,
Jab yaadon ki bheed me sirf ek parchhai ban jaayenge.
Zindagi bhar jo humne chup rehkar saha,
Wahi sab logon ke dilon par bojh banke utar jaayega.

Hum jo roz kisi ki muskurahat ki wajah bante rahe,
Wahi chehra ek din hamari kami me sookh sa jaayega.
Ek aisi khaali si jagah rahegi hawa me,
Jiska hisaab koi nahi de paayega.

Jo humare saamne humse rooth kar chalte rahe,
Wahi ek din hume manaane ke sapne me ro padenge.
Jo hume samajh bhi nahi paaye zindagi bhar,
Wahi lamhe ko thahar kar pachtaane lag jayenge.

Duniya ka nizam bada ajeeb hota hai bhai,
Zinda ho to koi qadr nahi karta,
Aur jab mar jao to har shakl me dard nazar aata hai.
Hum kiya-kuch nahi, bas ek lamha the,
Par maut ke baad woh lamha hi zindagi ki tafseer ban jaata hai.

Us waqt rona-dhona sirf ibtedaa hogi,
Asal deri tab hogi jab koi khud ko maaf na kar paaye.
Hum jis ke liye roz ek dua banke jeete rahe,
Wahi ek din hume yaad karke apni rooh se takraayega.

Aur hum?
Hum to ek hawa ki teh me chip kar, khamosi se itna kahenge,
“Pyar waqt se pehle de dete, to zindagi badal jaati…”

Zindagi bhar jin lamhon ko hum halka samajh kar guzar gaye,
Wohi lamhe maut ke baad sabak banke wapas aayenge.
Koi humari purani diary palat kar dekhega,
Aur har lafz me apne naam ki kami dhoondhega.

Ek tasveer kisi kone me dhool me lipti hogi,
Par dil us tasveer ko bankar rota rahega.
Koi humari aawaz ke ek purane message ko baar-baar sunega,
Par hum us message se bahar nahi aa paayenge.

Shaam ke waqt, jab hawa thodi naram hogi,
Kisi ko achanak mehsoos hoga ke hum paas se guzar gaye,
Par woh bas ek ehsaas hoga — hum nahi.

Mohabbat ka asli rang tab samne aayega,
Jab log apne gham ke bawajood hamare liye dua mangenge.
Par hum unki duayein suntay hue bhi wapas nahi lautenge.

Hum mitti ka ek safar ban jayenge,
Rooh ka ek azaad udaan ban jayenge,
Aur duniya ki har yaad ke darmiyan,
Ek khamosh sa kissa ban kar reh jaayenge.

Phir chahe duniya humari kami me kitna bhi pighal jaaye,
Hum… kabhi bhi… laut kar nahi aayenge.